Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

آج زینب کرے گی مقتل میں

Pehla Sajda Baghair

Add to set
Show

آج زینب کرے گی مقتل میں

آج زینب کرے گی مقتل میں پہلا سجدہ بغیر چادر کے روشنی اور ہوا نے بھی جس کا سر نہ دیکھا بغیر چادر کے
۱ جس کو دفنا نہیں سکی زینب بیکفن تھا جو دشتِ غربت میں اپنے بھائی حسین کا اس نے غم منایا بغیر چادر کے
۲ وہ جو اس کی ردا کا ضامن تھا اس کے نقشِ قدم مٹاتا تھا کیسے گزرے گی اس کے لاشے سے بنت زہرا بغیر چادر کے
۳ جس کا قرآن چہرہ پڑھتا تھا صرف آیات دیکھتی تھی جسے آج دیکھیں گے اس کو گلیوں میں اہلِ کوفہ بغیر چادر کے
۴ تم سے زینب نہ ہم کلام ہوئی میری آواز نہ سنی تم نے آؤ بابا سناؤں میں تم کو آج خطبہ بغیر چادر کے
۵ دونوں زخموں نے خوں رلایا ہے قبر میں بھی خدا کی غیرت کو ایک لاشہ تھا بیکفن رن میں اک جنازہ بغیر چادر کے
۶ کیسے ان چاروں کے مقتل میں تین دن تک کھڑی رہی زینب جس جگہ موت سے بھی مشکل تھا اک لمحہ بغیر چادر کے
۷ جو بھی پردے کو رونے والی ہے واسطہ ان کو بی‌بی زینب کا بنت زہرا کی پاک چادر کو تم نہ رونا بغیر چادر کے
۸ خاک بالوں میں بال چہرے پر اور آنکھوں سے اشک جاری ہے قید خانے میں ایسے زینب کا سال گزرا بغیر چادر کے
۹ اس کا پردہ تھا زندگی اس کی سانس اس کو ردا سے ملتی تھی ہے قیامت فراز زینب کا زندہ رہنا بغیر چادر کے

Pehla Sajda Baghair

Aaj Zainab karegi maqtal meiṅ Pehla sajda baghair chadar ke Roshni aur hawa ne bhi jis ka Sar na dekha baghair chadar ke
1 Jis ko dafna nahiṅ saki Zainab Bekafan tha jo dasht-e-ghurbat meiṅ Apne bhai Husain ka us ne Gham manaya baghair chadar ke
2 Wo jo us ki rida ka zaamin tha Us ke naqsh-e-qadam mitaata tha Kaise guzregi us ke laashe se Bint-e-Zehra baghair chadar ke
3 Jis ka Quraan chehra parhta tha Sirf aayaat dekhti thi jise Aaj dekheṅge us ko galiyoṅ meiṅ Ahl-e-Kufa baghair chadar ke
4 Tum se Zainab na ham kalaam hui Meri awaaz na suni tum ne Aao baba sunaauṅ maiṅ tum ko Aaj khutba baghair chadar ke
5 Donoṅ zakhmoṅ ne khuṅ rulaaya hai Qabr meiṅ bhi Khuda ki ghairat ko Ek laasha tha bekafan ran meiṅ Ik janaaza baghair chadar ke
6 Kaise un chaadaroṅ ke maqtal meiṅ Tin din tak khari rahi Zainab Jis jagah maut se bhi mushkil tha Ik lamha baghair chadar ke
7 Jo bhi parde ko rone waali hai Waasta un ko Bibi Zainab ka Bint-e-Zehra ki paak chadar ko Tum na rona baghair chadar ke
8 Khaak baaloṅ meiṅ baal chehre par Aur aankhoṅ se ashk jaari hai Qaid khaane meiṅ aise Zainab ka Saal guzra baghair chadar ke
9 Us ka parda tha zindagi us ki Saans us ko rida se milti thi Hai qayaamat Faraaz Zainab ka Zinda rehna baghair chadar ke