پایا غازی حسین نے، تسبیحوں میں وفا وفا کہ کے
Paya Ghazi Hussain ne

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Paya Ghazi Husain ne, tasbihon mein wafa wafa keh ke
Chehra Ghazi ka choomti hain, Aaliya bhi Khuda Khuda keh ke
Tere lab par meri gawahi hai
Kya tabiyat mein tu Ilahi hai
Ban ke Zahra bulaoon gi
Tumhein Ghazi rida rida keh ke
Sab ko mushkil se jo bachata hai
Khud Khuda ke jo kaam aata hai
Lori deta hai woh Ali
Tumhein Mushkil Kusha Kusha keh ke
Chaar Shaban ki ghari aayi
Bolo Zainab ke ay mere bhai
Rab se manga tha maa ne tujhe
Rab ne bheja tha ata ata keh ke
Karbala ab ke mujhe jana hai
Tere roze pe sar jhukana hai
Roz Maheen mangti hai dua
Mujh ko Ghazi bula bula keh ke