مسلم کے دُلارے
Pardes Hai Ghurbat
Show
مسلم کے دُلارے
مسلم کے دُلارے
پردیس ہے غربت ہے مسلم کے دُلارے ہیں
ہے دور وطن دونوں تقدیر کے مارے ہیں
۱
بچھڑا ہے پدر جب سے دونوں پہ مصیبت ہے
بھوکے ہیں کئی دن کے اور پیاس کی شدت ہے
جائیں تو کہاں جائیں یہ سوچ کے روتے ہیں
۲
حال اپنا بتانے کو ہمدرد کہاں پائیں
انجان ہیں کوفہ سے جائیں تو کہاں جائیں
چھپ چھپ کے وہ پردیسی دن رات بتاتے ہیں
۳
چھوٹے کو بڑا بھائی گودی میں اٹھاتا ہے
بھائی کا سفر بھائی آسان بناتا ہے
مل جائے گا اب رستہ یہ سوچ کے چلتے ہیں
۴
تقدیر یتیموں کو دن رات ستاتی ہے
اور باپ کی فرقت بھی دونوں کو رلاتی ہے
کوفہ میں بھٹکتے ہیں اور اشک بہاتے ہیں
۵
ہے دونوں کے بال الجھے کپڑے بھی ہوئے میلے
کوئی بھی نہیں ایسا آکر کے جو یہ پوچھے
یہ سوئے نہیں کب سے اور کب کے یہ جاگے ہیں
۶
آ کر کے کوئی ان کو سینے سے لگا لیتا
اور راہ مدینے کی دونوں کو بتا دیتا
یہ دونوں مسافر ہیں حیدر کے دُلارے ہیں
۷
اک پل بھی اجل ان کے پیچھے سے نہیں ہٹتی
اور رنج و مصیبت کی بدلی بھی نہیں گھٹتی
دو پھول سے بچے ہیں اور موت کے سائے ہیں
۸
وہ دونوں مسافر تھے پردیس میں بے وارث
جب کر کے گرفتاری لے کر کے چلا حارث
رخ کر کے مدینہ کا اماں کو بلاتے ہیں
۹
حارث نے یتیموں پر واعظ جو ستم ڈھائے
وہ ظلم علی کیسے رہ رہ کے نہ یاد آئے
تلوار ہے ظالم کی اور چاند سے بچے ہیں
Pardes Hai Ghurbat
Muslim ke dulaare
Pardes hai ghurbat hai Muslim ke dulaare haiṅ
Hai dur watan donoṅ taqdir ke maare haiṅ
1
Bichhra hai pidar jab se donoṅ pe musibat hai
Bhuke haiṅ kai din ke aur pyaas ki shiddat hai
Jaayeṅ to kahaaṅ jaayeṅ ye soch ke rote haiṅ
2
Haal apna bataane ko hamdard kahaaṅ paayeṅ
Anjaan haiṅ Kufa se jaayeṅ to kahaaṅ jaayeṅ
Chhup chhup ke wo pardesi din raat bitaate haiṅ
3
Chhote ko bara bhai godi meiṅ uthaata hai
Bhai ka safar bhai aasaan banaata hai
Mil jaayega ab rasta ye soch ke chalte haiṅ
4
Taqdir yatimoṅ ko din raat sataati hai
Aur baap ki furqat bhi donoṅ ko rulaati hai
Kufa meiṅ bhatakte haiṅ aur ashk bahaate haiṅ
5
Hai donoṅ ke baal uljhe kapre bhi hue maile
Koi bhi nahiṅ aisa aa kar ke jo ye puchhe
Ye soye nahiṅ kab se aur kab ke ye jaage haiṅ
6
Aa kar ke koi in ko sine se lagaa leta
Aur raah Madine ki donoṅ ko bataa deta
Ye donoṅ musaafir haiṅ Haidar ke dulaare haiṅ
7
Ik pal bhi ajal in ke pichhe se nahiṅ hatti
Aur ranj o musibat ki badli bhi nahiṅ ghatti
Do phul se bachche haiṅ aur maut ke saaye haiṅ
8
Wo donoṅ musaafir the pardes meiṅ bewaaris
Jab kar ke giraftaari le kar ke chala Haaris
Rukh kar ke Madina ka ammaaṅ ko bulaate haiṅ
9
Haaris ne yatimoṅ par Waiz jo sitam dhaaye
Wo zulm Ali kaise reh reh ke na yaad aaye
Talwaar hai zaalim ki aur chaand se bachche haiṅ