Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

پرچمِ عباس ہے یہ پرچمِ عباس

Parcham-e-Abbas

Add to set
Show

پرچمِ عباس ہے یہ پرچمِ عباس

پرچمِ عباس ہے یہ پرچمِ عباس
پہلے دریائے مودت میں نہا کر دیکھو دل کو احساس کے زیور سے سجا کر دیکھو تم کو دنیا ہی میں فردوس نظر آئے گی پرچمِ حضرتِ عبّاس اٹھا کر دیکھو
۱ خیبر کی وغا میں اسے حیدر نے اٹھایا اور خون سے عباس دلاور نے سجایا اور شانے کٹا کر اسے مقتل میں بچایا جو بھی اٹھائے گا اسے فاطمہ زہرا اسے دیتی ہے دعا
۲ ہاتھوں میں جو سقائے سکینہ کے جو علم ہے اس کی ہے عجب شام عجب جاہ و حشم ہے اسلام کی زینت ہے یہ ایماں کا بھرم ہے جب بھی اٹھاتے ہیں اسے چومنے آجاتی ہے جنت سے ہوا
۳ اس جیسی چمک چاند ستاروں میں کہاں ہے اس کے ہی اجالوں سے منور یہ جہاں ہے سجدے میں وہاں عرش ہے یہ نصب جہاں ہے غور سے دیکھو جو اسے اس میں نظر آتی ہے غازی کی وفا
۴ عباس کے پرچم میں یہ جو مشک سجی ہے پانی کی جگہ اس میں فقط تشنہ لبی ہے ہم جیسے غریبوں کی بھی امید بندھی ہے ملتا ہے سکوں قلب کو جب پاتے ہیں ہم اس کے پھریرے کی ہوا

Parcham-e-Abbas

Parcham-e-Abbas hai ye parcham-e-Abbas
Pehle darya-e-mawaddat meiṅ nahaa kar dekho Dil ko ehsaas ke zewar se sajaa kar dekho Tum ko duniya hi meiṅ Firdaus nazar aayegi Parcham-e-Hazrat-e-Abbas uthaa kar dekho
1 Khaibar ki waghaa meiṅ ise Haidar ne uthaaya Aur khun se Abbas-e-Dilaawar ne sajaaya Aur shaane kataa kar use maqtal meiṅ bachaaya Jo bhi uthaayega ise Fatima Zehra use deti hai dua
2 Haathoṅ meiṅ jo saqqa-e-Sakina ke jo alam hai Us ki hai ajab shaam ajab jaah o hasham hai Islam ki zinat hai ye imaaṅ ka bharam hai Jab bhi uthaate haiṅ ise chumne aa jaati hai Jannat se hawa
3 Is jaisi chamak chaand sitaaroṅ meiṅ kahaaṅ hai Is ke hi ujaaloṅ se munawwar ye jahaaṅ hai Sajde meiṅ wahaaṅ arsh hai ye nasb jahaaṅ hai Ghaur se dekho jo ise is meiṅ nazar aati hai Ghazi ki wafa
4 Abbas ke parcham meiṅ ye jo mashk saji hai Paani ki jagah is meiṅ faqat tashna labi hai Hum jaise ghariboṅ ki bhi ummid bandhi hai Milta hai sukuṅ qalb ko jab paate haiṅ hum is ke pharere ki hawa