نوحہ کناں ہے زینب مضطر علی کے بعد
Nauha Kunaṅ Hai Zainab-e-Muztar Ali Ke Baad
Show
نوحہ کناں ہے زینب مضطر علی کے بعد
نوحہ کناں ہے زینب مضطر علی کے بعد
کہرام ہے مچا ہوا گھر گھر علی کے بعد
۱
محراب غمزدہ ہے نمازی کدھر گیا
ویران ہے رسول کا منبر علی کے بعد
۲
منظر ابھر کے آ گیا بازار شام کا
زینب کے سر سے جب گری چادر علی کے بعد
۳
شہزادی بن کے آئی تھی کوفے میں کل یہی
در در پھری ہے زینبِ مضطر علی کے بعد
۴
جو سر تھا بوسہ گاہ علی و محمدی
نیزے پہ چڑھ گیا ہے وہی سر علی کے بعد
۵
کچھ خونِ مرتضیٰ کی ہے کچھ کربلا کی ہے
سرخی جو چھا گئی ہے فلک پر علی کے بعد
۶
رو رو کے کوفے والوں سے کہتے تھے یہ علی
زینب کو کوئی مارے نہ پتھر علی کے بعد
۷
اصغر سا نونہال بھی خوں میں نہا گیا
اجڑا ہے اس طرح سے بھرا گھر علی کے بعد
۸
گزرا ہے یہ بھی سانحہ اس گھر پہ اے ظفر
زہرا کی بیٹیاں ہے کھلے سر علی کے بعد
Nauha Kunaṅ Hai Zainab-e-Muztar Ali Ke Baad
Nauha kunaṅ hai Zainab-e-Muztar Ali ke baad
Kohraam hai macha hua ghar ghar Ali ke baad
1
Mehraab ghamzada hai namaazi kidhar gaya
Viraan hai Rasul ka mimbar Ali ke baad
2
Manzar ubhar ke aa gaya baazaar-e-Shaam ka
Zainab ke sar se jab giri chaadar Ali ke baad
3
Shehzaadi ban ke aayi thi Kufe meiṅ kal yehi
Dar dar phiri hai Zainab-e-Muztar Ali ke baad
4
Jo sar tha bosa gaah-e-Ali o Muhammadi
Naize pe charh gaya hai wohi sar Ali ke baad
5
Kuch khun-e-Murtaza ki hai kuch Karbala ki hai
Surkhi jo chha gayi hai falak par Ali ke baad
6
Ro ro ke Kufe waaloṅ se kehte the ye Ali
Zainab ko koi maare na patthar Ali ke baad
7
Asghar sa naunihaal bhi khuṅ meiṅ naha gaya
Ujra hai is tarah se bhara ghar Ali ke baad
8
Guzra hai ye bhi saaneha is ghar pe ae Zafar
Zehra ki betiyaṅ hai khule sar Ali ke baad