نزدیک نجف ہے کوئی حیدر کو بلالے
Nazdik Najaf Hai
Show
نزدیک نجف ہے کوئی حیدر کو بلالے
نزدیک نجف ہے کوئی حیدر کو بلالے
۱
یوں مادر شبیر پریشان ہے بن میں
روتی ہے تڑپتی ہے وہ حیران ہے بن میں
کہتی ہے کہ دنیا میری ویران ہے بن میں
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۲
سر ایک ہے لیکن ہے طلبگار ہزاروں
تنہا میرا شبیر ستمگار ہزاروں
اک جان پہ ٹوٹے ہیں جفاکار ہزاروں
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۳
مظلوم کے بچنے کی کوئی آس نہیں ہے
سب مر گئے ہمدرد کوئی پاس نہیں ہے
اکبر نہیں قاسم نہیں عباس نہیں ہے
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۴
بڑھتے ہوئے آتے ہیں ادھر برچھیوں والے
کوئی بھی نہیں جو میرے بچے کو بچالے
ہے کوئی جو اس مادر بیکس کی دعا لے
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۵
صد حیف وہ ہے نرغۂ اعدا میں گرفتار
تیروں کی ہے بوچھار تو شمشیر کے ہیں وار
لو جھومتا ہے پشت فرس پر میرا دلدار
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۶
ہلتی ہے زمیں اور فلک ہوتا ہے لرزاں
خیمے سے نکل آئی ہے زینب سوئے میداں
ہونے لگا بچے کے میرے قتل کا ساماں
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
۷
بعد شہ مظلوم مجاہد یہ ہوا تھا
سب جل گئے خیمے یہ فلک دیکھ رہا تھا
نوحہ یہی زہرا کا فقط گونج رہا تھا
ہے لال میرا آج لعینوں کے حوالے
Nazdik Najaf Hai
Nazdik Najaf hai koi Haidar ko bula le
1
Yuṅ maadar-e-Shabbir pareshaan hai ban meiṅ
Roti hai tarapti hai wo hairaan hai ban meiṅ
Kahti hai ke duniya meri viraan hai ban meiṅ
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
2
Sar ek hai lekin hai talabgaar hazaaroṅ
Tanha mera Shabbir sitamgaar hazaaroṅ
Ik jaan pe tute haiṅ jafaakaar hazaaroṅ
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
3
Mazlum ke bachne ki koi aas nahiṅ hai
Sab mar gaye hamdard koi paas nahiṅ hai
Akbar nahiṅ Qaasim nahiṅ Abbaas nahiṅ hai
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
4
Barhte hue aate haiṅ idhar barchhiyoṅ waale
Koi bhi nahiṅ jo mere bachche ko bacha le
Hai koi jo is maadar-e-bekas ki dua le
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
5
Sad haif wo hai nargha-e-aada meiṅ giraftaar
Tiroṅ ki hai bauchhaar to shamshir ke haiṅ waar
Lo jhumta hai pusht-e-faras par mera dildaar
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
6
Hilti hai zamiṅ aur falak hota hai larzaaṅ
Khaime se nikal aai hai Zainab su-e-maidaaṅ
Hone laga bachche ke mere qatl ka saamaaṅ
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale
7
Baad-e-Shah-e-mazlum Mujaahid ye hua tha
Sab jal gaye khaime ye falak dekh raha tha
Noha yahi Zehra ka faqat gunj raha tha
Hai laal mera aaj lainoṅ ke hawaale