حی علی خیر العمل
Naukri Shabbir Ki
Show
حی علی خیر العمل
حی علی خیر العمل
میرے خوں کی طہارت کہتی ہے
مجھے ہر شاہی سے اچھی ہے
نوکری شبیر کی
یہ سب کو میسر ہوتی نہیں
یہ حر جیسوں کو ملتی ہے
نوکری شبیر کی
۱
یہ منصب جس کو مل جائے
زہرا کی دعائیں پاتا ہے
وہ خاک کا ذرہ ہو کر بھی
خود خاک شفا بن جاتا ہے
یہ نعمت تو ہم جیسوں کی
تقدیر بنائے رکھتی ہے
۲
یہ فرش عزا تابوت و علم
یہ نوحے مجلس اور ماتم
پانی کی سبیلیں اور لنگر
معصوم علی اصغر کی قسم
ہم اہلِ عزا کی مذہب میں
کہلاتی تھی کہلاتی ہے
۳
یہ لوگ جو نوحہ پڑھتے ہیں
یہ لوگ جو ماتم کرتے ہیں
یہ ماں بہنیں جو روتی ہیں
ذاکر جو خطابت کرتے ہیں
دروازۂ زہرا پر ان کی
تا روز قیامت پکی ہے
۴
شبیر کے جتنے نوکر ہے
سیراب جام کوثر ہے
خدام عزا خانوں کے جو ہے
قسمت کے ابوذر قمبر ہے
اس عزت کو خود بنت علی
قرآن کی زبان میں کہتی ہے
۵
مجلس میں سیاست مت کرنا
مولا سے بغاوت مت کرنا
اس فرش عزا پر آ کے طلب
اس ذکر کی قیمت مت کرنا
بے لاس جو ماتم کرتے ہیں
بس ان کو شفاعت دیتی ہے
۶
وہ سجدۂ آخر جلتی زمیں
جس سجدے کا ثانی ہی نہیں
خنجر کے تلے جس دم رکھی
شبیر نے ہائے زخمی جبیں
جبریل نے آ کر دی یہ صدا
منظور خدا نے کر لی ہے
۷
ریحان قلم بھی نوکر ہے
کاغذ بھی غلام سرور ہے
درویش صفت ہر لفظ میرا
لکھتا جو عزا کا منظر ہے
کہتی ہے میری نوحہ گوئی
تقدیر میں تیری لکھ دی ہے
Naukri Shabbir Ki
Hayya ala khair al-amal
Mere khuṅ ki tahaarat kehti hai
Mujhe har shaahi se achchhi hai
Naukri Shabbir ki
Ye sab ko mayassar hoti nahiṅ
Ye Hur jaisoṅ ko milti hai
Naukri Shabbir ki
1
Ye mansab jis ko mil jaaye
Zahra ki duaaeṅ paata hai
Wo khaak ka zarra ho kar bhi
Khud khaak-e-shifa ban jaata hai
Ye nemat to hum jaisoṅ ki
Taqdir banaaye rakhti hai
2
Ye farsh-e-aza taabut o alam
Ye nauhe majlis aur maatam
Paani ki sabileṅ aur langar
Maasum Ali Asghar ki qasam
Hum ahl-e-aza ki mazhab meiṅ
Kehlaati thi kehlaati hai
3
Ye log jo nauha parhte haiṅ
Ye log jo maatam karte haiṅ
Ye maaṅ behneṅ jo roti haiṅ
Zaakir jo khitaabat karte haiṅ
Darwaaza-e-Zahra par in ki
Ta roz-e-qayaamat pakki hai
4
Shabbir ke jitne naukar hai
Sairaab-e-jaam-e-Kausar hai
Khuddaam aza khaanoṅ ke jo hai
Qismat ke Abu Zar Qambar hai
Is izzat ko khud bint-e-Ali
Quraan ki zabaan meiṅ kehti hai
5
Majlis meiṅ siyaasat mat karna
Maula se baghaawat mat karna
Is farsh-e-aza par aa ke talab
Is zikr ki qimat mat karna
Belaas jo maatam karte haiṅ
Bas un ko shafaaat deti hai
6
Wo sajda-e-aakhir jalti zamiṅ
Jis sajde ka saani hi nahiṅ
Khanjar ke tale jis dam rakhi
Shabbir ne haaye zakhmi jabiṅ
Jibril ne aa kar di ye sada
Manzur Khuda ne kar li hai
7
Rehaan qalam bhi naukar hai
Kaaghaz bhi ghulaam-e-Sarwar hai
Darvesh sifat har lafz mera
Likhta jo aza ka manzar hai
Kehti hai meri nauha goi
Taqdir meiṅ teri likh di hai