شام غریباں زینب تنہا
Na Ro Zainab
Show
شام غریباں زینب تنہا
شام غریباں زینب تنہا
گھور اندھیرا موت کا سایہ
بادل بن کے سر پر چھایا
آوازیں ٹاپوں کی ابھری
کون جلے خیموں کی جانب
تیز قدم سے چلتا آیا
پونچ کے آنسو زینب دیکھے
دیکھتی کیا ہے اس کا بابا
باپ کے سینے پر سر رکھ کے
بلک بلک کر تڑپ تڑپ کر
ایسا روئی روئی روئی روئی
نہ رو زینب نہ رو
ہاں میرے جگر کے ٹکڑے نہ رو
۱
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں میرا اکبر ہاں میرا اصغر
ہاں میرا غازی ہاں تیرا دلبر
میں اجڑ گئی بابا
۲
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں اک دن میں ہاں گھر اجڑا
ہاں رہے بھائی ہاں نہ بیٹا
میں اجڑ گئی بابا
۳
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں میں بیکس ہاں میں مضطر
ہاں پردیسی ہاں میں بے گھر
میں اجڑ گئی بابا
۴
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں گیا غازی ہاں دریا پر
ہاں گرے بازو ہاں کٹ کٹ کر
میں اجڑ گئی بابا
۵
میں کیسے روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں سرور پہ ہاں چلا خنجر
ہاں میں ہو گئی ہاں بے چادر
میں اجڑ گئی بابا
۶
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں مارا ہے ہاں اعدا نے
ہاں پیاسوں کے ہاں لشکر کو
میں اجڑ گئی بابا
۷
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں ایک چادر میں دیکھا
ہاں قاسم کا عجب لاشہ
میں اجڑ گئی بابا
۸
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں زنداں میں ہاں جانا ہے
ہاں رسی میں ہاں شانا ہے
میں اجڑ گئی بابا
۹
میں کیسے نہ روؤں بابا میں اجڑ گئی بابا
ہاں ریحان و ہاں سرور کا
ہاں پرسہ ہے ہاں یہ نوحہ
میں اجڑ گئی بابا
Na Ro Zainab
Shaam-e-Gharibaaṅ Zainab tanha
Ghor andhera maut ka saaya
Baadal ban ke sar par chhaaya
Aawaazeṅ taapoṅ ki ubhri
Kaun jale khaimoṅ ki jaanib
Tez qadam se chalta aaya
Poch ke aansu Zainab dekhe
Dekhti kya hai us ka baba
Baap ke sine par sar rakh ke
Bilak bilak kar tarap tarap kar
Aisa royi royi royi royi
Na ro Zainab na ro
Haaṅ mere jigar ke tukre na ro
1
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ mera Akbar haaṅ mera Asghar
Haaṅ mera Ghazi haaṅ tera dilbar
Maiṅ ujar gayi baba
2
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ ek din meiṅ haaṅ ghar ujra
Haaṅ rahe bhai haaṅ na beta
Maiṅ ujar gayi baba
3
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ maiṅ bekas haaṅ maiṅ muztar
Haaṅ pardesi haaṅ maiṅ beghar
Maiṅ ujar gayi baba
4
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ gaya Ghazi haaṅ darya par
Haaṅ gire baazu haaṅ kat kat kar
Maiṅ ujar gayi baba
5
Maiṅ kaise rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ Sarwar pe haaṅ chala khanjar
Haaṅ maiṅ ho gayi haaṅ bechaadar
Maiṅ ujar gayi baba
6
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ maara hai haaṅ aada ne
Haaṅ pyaasoṅ ke haaṅ lashkar ko
Maiṅ ujar gayi baba
7
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ ek chaadar meiṅ dekha
Haaṅ Qasim ka ajab laasha
Maiṅ ujar gayi baba
8
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ zindaaṅ meiṅ haaṅ jaana hai
Haaṅ rassi meiṅ haaṅ shaana hai
Maiṅ ujar gayi baba
9
Maiṅ kaise na rouṅ baba maiṅ ujar gayi baba
Haaṅ Rehaan o haaṅ Sarwar ka
Haaṅ pursa hai haaṅ ye nauha
Maiṅ ujar gayi baba