Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میرے نانا کا کلمہ پڑھتے ہو

Na Chhino Chaadar

Add to set
Show

میرے نانا کا کلمہ پڑھتے ہو

میرے نانا کا کلمہ پڑھتے ہو انصاف کرو اے شام والوں میری ماں زہرا بابا ہے علی واویلا ہے واویلا
اے لوگوں میرا نانا ہے نبی میں زینب ہوں کچھ شرم کرو نہ چھینو چادر میری میں زینب ہوں کچھ شرم کرو
۱ میں یثرب کی شہزادی ہوں ہے بھائی میرا سردار جناں میں شرم و حیا کی مخدومہ ہے اس کی گواہی کون و مکاں ہے میرے لبوں پر غم کی اذاں چادر جو چھنی مر جاؤں گی
۲ بھائی پہ میرے کیوں باغی کے الزام لگائے ہیں تم نے سادات کی آمد سے پہلے بازار سجائے ہیں تم نے غم میرے بڑھائے ہیں تم نے دل تھام کے میں یہ کہتی رہی
۳ اس طرح محمد کے دل کو تم لوگوں نے پامال کیا صدقے کی کھجوروں سے تم نے سادات کا استقبال کیا صدموں نے میرا یہ حال کیا تسبیح ہی میری یہ بات بنی
۴ گلیوں میں چراغاں ہوتا ہے اور آل پیمبر روتی ہے نیزے پہ برادر روتا ہے اور آل پیمبر روتی ہے اس بات پہ خواہر روتی ہے تم ہنستے رہے میں روتی رہی
۵ بالوں کی سفیدی پر میری میلوں کی مسافت روتی ہے ناپاک نگاہیں اٹھتی ہے سجاد کی غیرت روتی ہے اس بات پہ قسمت روتی ہے بے جرم و خطا کیوں قیدی بنی
۶ بے پردہ مجھے دیکھا ہی نہیں سورج نے کبھی بابا کی قسم محمل کے بنا نکلی نہ کبھی ہے یاد مجھے وہ جاہ و ہشم کرتی ہوں بکا ہر ایک قدم محمل کے بنا میں شام چلی
۷ تاریخِ ستم دہرائی گئی مجھے جیتے جی جو مار گئی اماں کی طرح سے زینب بھی پیشی کے لئے دربار گئی اور سر سے میرے دستار گئی دربار تلک یہ کہتی گئی
۸ ہے کند زبان اور قلم اشکوں کو زباں کر سکتے نہیں عرفان اور مظہر چاہے بھی زخموں کو عیاں کر سکتے نہیں روداد بیاں کر سکتے نہیں کیوں کہنا پڑا بی‌بی کو میری

Na Chhino Chaadar

Mere naana ka kalma parhte ho Insaaf karo ae Shaam waloṅ Meri maaṅ Zahra baaba hai Ali Wavaila haaye wavaila
Ae logoṅ mera naana hai Nabi Maiṅ Zainab huṅ kuchh sharm karo Na chhino chaadar meri Maiṅ Zainab huṅ kuchh sharm karo
1 Maiṅ Yasrab ki shehzaadi huṅ Hai bhaai mere sardaar-e-jinaaṅ Maiṅ sharm o haya ki makhduma Hai is ki gawaahi kaun o makaaṅ Hai mere laboṅ par gham ki azaaṅ Chaadar jo chhini mar jaauṅgi
2 Bhaai pe mere kiuṅ baaghi ke Ilzaam lagaaye haiṅ tum ne Saadaat ki aamad se pehle Baazaar sajaaye haiṅ tum ne Gham mere barhaaye haiṅ tum ne Dil thaam ke maiṅ ye kehti rahi
3 Is tarah Muhammad ke dil ko Tum logoṅ ne paamaal kiya Sadqe ki khajuroṅ se tum ne Saadaat ka istiqbaal kiya Sadmoṅ ne mera ye haal kiya Tasbih hi meri ye baat bani
4 Galiyoṅ meiṅ charaaghaaṅ hota hai Aur Aal-e-Payambar roti hai Naize pe baraadar rota hai Aur Aal-e-Payambar roti hai Is baat pe khwaahar roti hai Tum haṅste rahe maiṅ roti rahi
5 Baaloṅ ki safedi par meri Miloṅ ki musaafat roti hai Napaak nigaaheṅ uthti hai Sajjad ki ghairat roti hai Is baat pe qismat roti hai Bejurm o khata kiuṅ qaidi bani
6 Beparda mujhe dekha hi nahiṅ Suraj ne kabhi baaba ki qasam Mahmil ke bina nikli na kabhi Hai yaad mujhe wo jaah o hasham Karti huṅ buka har ek qadam Mahmil ke bina maiṅ Shaam chali
7 Taarikh-e-sitam dohraai gayi Mujhe jite ji jo maar gayi Ammaa ki tarah se Zainab bhi Peshi ke liye darbaar gayi Aur sar se mere dastaar gayi Darbaar talak ye kehti gayi
8 Hai kund zabaane aur qalam Ashkoṅ ko zabaaṅ kar sakte nahiṅ Irfan aur Mazhar chaahe bhi Zakhmoṅ ko ayaaṅ kar sakte nahiṅ Rudaad bayaaṅ kar sakte nahiṅ Kiuṅ kehna para Bibi ko meri