مرتضیٰ کے سائے میں
Murtaza Ke Saaye Meiṅ
Show
مرتضیٰ کے سائے میں
مصطفیٰ کے سائے میں اور کبریا کے سائے میں
یہ خدائی چل رہی ہے مرتضیٰ کے سائے میں
۱
مسکرا کے حضرتِ سلمان کہتے ہیں سنو
میں مقلد ہوں علی کا تم ذرا یہ دیکھ لو
جی رہا ہوں میں مسلسل لیلہ کے سائے میں
۲
یہ خفی ہے یہ جلی ہے یہ ولی ہے یہ وصی
اس میں کچھ شک ہی نہیں ظلِ الٰہی ہے علی
جو علی کے سائے میں ہے، ہے خدا کے سائے میں
۳
نوح بولے فکر کیوں کر ہو مجھے طوفان کی
ورد ہے نادِ علی کا میرے لب پر ہر گھڑی
خوف مشکل کا ہو کیوں مشکل کشا کے سائے میں
۴
قل ہو اللہ ہو احد کہتی ہے اس کو ہی احد
یہ ہی اللہ ہو صمد کی کرتا آیا ہے مدد
ہیں میری سانسیں اسی حاجت روا سائے میں
Murtaza Ke Saaye Meiṅ
Mustafa ke saaye meiṅ aur Kibriya ke saaye meiṅ
Yeh khudaai chal rahi hai Murtaza ke saaye meiṅ
1
Muskura ke Hazrat-e-Salman kahte haiṅ suno
Maiṅ muqallid huṅ Ali ka tum zara yeh dekh lo
Ji raha huṅ maiṅ musalsal Lailah ke saaye meiṅ
2
Yeh khafi hai yeh jali hai yeh wali hai yeh wasi
Is meiṅ kuchh shak hi nahiṅ zill-e-Ilaahi hai Ali
Jo Ali ke saaye meiṅ hai, hai Khuda ke saaye meiṅ
3
Nuh bole fikr kiuṅ kar ho mujhe tufaan ki
Wird hai Naad-e-Ali ka mere lab par har ghari
Khauf mushkil ka ho kiuṅ mushkil kusha ke saaye meiṅ
4
Qul hu Allah hu ahad kahti hai is ko hi ahad
Yeh hi Allah hu samad ki karta aaya hai madad
Haiṅ meri saaṅseiṅ isi haajat rawa saaye meiṅ