مجرئی خلق میں، ان آنکھوں نے کیا کیا دیکھا
mujrayi khalq mein

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Mujrayi khalq mein, in aankhon ne kya kya dekha
Par kahin Sibt-e Payambar sa na Aqa dekha
Main ne dekha alam-e Shah ko alooda-e khoon
Main ne neza pe sar-e dilbar-e Zahra dekha
Kehti thin Zainab-e muztar ke Khuda khair kare
Raat ko khwab mein uryaan sar-e Zahra dekha
Ek gathri Shah-e Deen pusht pe laaye us mein
Main ne tukre hue Qasim ka sarapa dekha
Main ne dekha Ali Asghar ka gala khoon mein tar
Main ne Abbas ko reti pe tarapta dekha
Be-rida khalq ne us Bibi ke sar ko dekha
Jis ki madar ka kisi ne na janaza dekha
Gir pare Sibt-e Nabi thaam ke haathon se jigar
Ali Akbar ko jo reti pe tarapta dekha
Ja ke Zainab ne Madine mein kaha Sughra se
Kahoon kis munh se ke pardes mein kya kya dekha
Haye kyun ho na gayin koorha ke in aankhon ne
Qaid khane mein Sakina ka janaza dekha
Zulm hai Mujrai, Sajjad ne kya kya dekha
Ghar luta, qaid hue, baap ka lasha dekha