Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

مجھے قیدی سمجھ نہیں شیریں

Mujhe Qaidi Samajh

Add to set
Show

مجھے قیدی سمجھ نہیں شیریں

مجھے قیدی سمجھ نہیں شیریں کر غور ذرا میں زینب ہوں تیرے شہر میں دیکھ یہ حال ہوا نہیں سر پہ ردا میں زینب ہوں
۱ کر یاد وصیت بھائی کی مہمان بنیں گے ہم تیرے پہچان مجھے ان بالوں سے چہرے پہ پڑے ہیں جو میرے دل غم سے پھٹا جاتا ہے میرا کر کوئی دوا میں زینب ہوں
۲ جس شہر کی میں شہزادی تھی آئی ہوں وہاں قیدی بن کر قرآں کی تلاوت کرتا ہے وہ دیکھ میرے بھائی کا سر پہچان مجھے کیا اور کہوں اب اس کے سوا میں زینب ہوں
۳ نظروں کو اٹھا کر دیکھ ذرا نیزوں پہ شہیدوں کے سر ہیں بیمار بھتیجا ساتھ میرے اور اہلِ حرم بے چادر ہیں اولادِ علی ہونے کی یہاں پائی ہے سزا میں زینب ہوں
۴ شیریں کیا کیا بتلاؤں تجھے جو ظلم سہے ہیں راہوں میں سنتی ہے یتیموں کے نالے کیا کرب ہے ان کی آہوں میں سہتی ہوں جفائیں امت کی بے جرم خطا میں زینب ہوں
۵ ہم آلِ محمد ہے شیریں یہ کنبہ کوئی اور نہیں تو غور سے دیکھ لے چہروں کو پیروں سے تیرے نکلے گی زمیں یہ ہے لیلیٰ یہ بانو ہے یہ ہے فروہ میں زینب ہوں
۶ صفدر روداد یہ زینب کی سن کر شیریں بے ہوش ہوئی کہتی تھی پیٹ کے سر اپنا ہائے موت مجھے کیوں نہ آئی جب مجھ سے میری آقا زادی زینب نے کہا میں زینب ہوں

Mujhe Qaidi Samajh

Mujhe qaidi samajh nahiṅ Shiriṅ Kar ghaur zara maiṅ Zainab huṅ Tere shehr meiṅ dekh ye haal hua Nahiṅ sar pe rida maiṅ Zainab huṅ
1 Kar yaad wasiyat bhai ki Mehmaan baneṅge hum tere Pehchaan mujhe in baaloṅ se Chehre pe pare haiṅ jo mere Dil gham se phata jaata hai mera Kar koi dawa maiṅ Zainab huṅ
2 Jis shehr ki maiṅ shehzaadi thi Aayi huṅ wahaaṅ qaidi ban kar Quraaṅ ki tilaawat karta hai Wo dekh mere bhai ka sar Pehchaan mujhe kya aur kahuṅ Ab is ke siwa maiṅ Zainab huṅ
3 Nazroṅ ko utha kar dekh zara Naizoṅ pe shahidoṅ ke sar haiṅ Bimaar bhatija saath mere Aur Ahl-e-Haram bechaadar haiṅ Aulaad-e-Ali hone ki yahaaṅ Paayi hai saza maiṅ Zainab huṅ
4 Shiriṅ kya kya batlaauṅ tujhe Jo zulm sahe haiṅ raahoṅ meiṅ Sunti hai yatimoṅ ke naale Kya karb hai in ki aahoṅ meiṅ Sehti huṅ jafaaeṅ ummat ki Bejurm khata maiṅ Zainab huṅ
5 Hum Aal-e-Muhammad hai Shiriṅ Ye kunba koi aur nahiṅ Tu ghaur se dekh le chehroṅ ko Pairoṅ se tere niklegi zamiṅ Ye hai Laila ye Bano hai Ye hai Farwa maiṅ Zainab huṅ
6 Safdar rudaad ye Zainab ki Sun kar Shiriṅ behosh hui Kehti thi pit ke sar apna Haae maut mujhe kiuṅ na aayi Jab mujh se meri aaqa zaadi Zainab ne kaha maiṅ Zainab huṅ