فرزند زہرا کا تھا یہ نوحہ
Mohsin Ne Kaha Rokar
Show
فرزند زہرا کا تھا یہ نوحہ
فرزند زہرا کا تھا یہ نوحہ
۱
دروازے کے گرنے سے جو پسلیاں ٹوٹی ہے
میں دیکھ رہا ہوں وہ کس طرح تڑپتی ہے
ہے درد بھرا منظر اماں ہے مصیبت میں
محسن نے کہا رو کر اماں ہے مصیبت میں
پہلو پہ گرا ہے در اماں ہے مصیبت میں
۲
اماں کو کمینوں نے کچھ ایسے رلایا ہے
ہنس ہنس کے لعینوں نے دروازہ جلایا ہے
دل پر ہے رواں خنجر اماں ہے مصیبت میں
۳
شانوں پہ لعینوں نے درّے بھی لگائے ہیں
تلوار کے قبضے سے کچھ زخم بھی آئے ہیں
محفوظ نہیں ہے سر اماں ہے مصیبت میں
۴
بابا کو بلاتی ہے رو رو کے میری اماں
حیدر کو بلاتی ہے مہدی کو کبھی اماں
برپا ہے عجب محشر اماں ہے مصیبت میں
۵
جلتی ہُوئی سینے میں اک کیل چبھی ہے جب
یاد آیا ہے اماں کو اکبر کا تڑپنا تب
اکبر کی مصیبت پر اماں ہے مصیبت میں
۶
عرفان ہے اماں کو میری بھی مصیبت کا
ناصر تھا میں اماں کا پر کوئی نہیں میرا
اک کیل کے نیزے سے بیٹا ہے مصیبت میں
Mohsin Ne Kaha Rokar
Farzand-e-Zehra ka tha ye nauha
1
Darwaaze ke girne se jo pasliyaaṅ tuti hai
Maiṅ dekh raha huṅ wo kis tarah tarapti hai
Hai dard bhara manzar ammaaṅ hai musibat meiṅ
Mohsin ne kaha ro kar ammaaṅ hai musibat meiṅ
Pehlu pe gira hai dar ammaaṅ hai musibat meiṅ
2
Ammaaṅ ko kaminoṅ ne kuchh aise rulaaya hai
Haṅs haṅs ke lainoṅ ne darwaaza jalaaya hai
Dil par hai rawaaṅ khanjar ammaaṅ hai musibat meiṅ
3
Shaanoṅ pe lainoṅ ne durre bhi lagaaye haiṅ
Talwaar ke qabze se kuchh zakhm bhi aaye haiṅ
Mehfuz nahiṅ hai sar ammaaṅ hai musibat meiṅ
4
Baaba ko bulaati hai ro ro ke meri ammaaṅ
Haider ko bulaati hai Mehdi ko kabhi ammaaṅ
Barpa hai ajab mahshar ammaaṅ hai musibat meiṅ
5
Jalti hui sine meiṅ ik kil chubhi hai jab
Yaad aaya hai ammaaṅ ko Akbar ka tarapna tab
Akbar ki musibat par ammaaṅ hai musibat meiṅ
6
Irfaan hai ammaaṅ ko meri bhi musibat ka
Naasir tha maiṅ ammaaṅ ka par koi nahiṅ mera
Ik kil ke neze se beta hai musibat meiṅ