Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

محمد کا گھرانہ محمد کا گھرانہ

Muhammad Ka Gharaana

Add to set
Show

محمد کا گھرانہ محمد کا گھرانہ

محمد کا گھرانہ محمد کا گھرانہ
ایسے ہوتے ہیں محمد کے گھرانے والے نوکِ نیزہ پہ بھی قرآن سنانے والے
یہ جفاؤں کے صلے میں بھی دعا دیتے ہیں اپنے قاتل کو بھی شربت یہ پلا دیتے ہیں اک سجدے سے یہ اسلام بچانے والے
۱ اک مشکیزے میں دریا کو اٹھا لیتے ہیں یہ تو خود پیاس کو دریا کی بجھا دیتے ہیں پیاسے دریا سے پلٹ کر ہے یہ آنے والے
۲ بات ہو حق کی تو یہ موت سے گھبراتے نہیں علم ہے ان کو شہادت ہے شہد سے شیریں موت کو جینے کے آداب سکھانے والے
۳ اپنے ہاتھوں پہ اٹھاتے ہیں کبھی خیبر کو اور ذرا مقتلِ اکبر کی طرف تو دیکھو بوڑھے کاندھوں پہ جواں لاش اٹھانے والے
۴ دور تاریکیِ عالم کو کیا شاہِ زمن نامِ احمد کے دیے کر کے دلوں میں روشن اپنے خیمے کے چراغوں کو بجھانے والے
۵ لاشیں پامال ہوئیں قیدی بنے گھر بھی جلے پھر بھی پیغام محمد کا مٹائے نہ مٹا تنہا نو لاکھ کے لشکر کو ہرانے والے
۶ ہم نے یوں میثم و سلمان بقا پائی ہے چودہ صدیوں سے جو نسلوں میں عزا آئی ہے نسل در نسل عزادار بنانے والے

Muhammad Ka Gharaana

Muhammad ka gharaana Muhammad ka gharaana
Aise hote haiṅ Muhammad ke gharaane waale Nok-e-naiza pe bhi Quraan sunaane waale
Ye jafaoṅ ke sile meiṅ bhi dua dete haiṅ Apne qaatil ko bhi sharbat ye pila dete haiṅ Ik sajde se ye Islam bachaane waale
1 Ik mashkize meiṅ darya ko utha lete haiṅ Ye to khud pyaas ko darya ki bujha dete haiṅ Pyaase darya se palat kar hai ye aane waale
2 Baat ho haq ki to ye maut se ghabraate nahiṅ Ilm hai in ko shahaadat hai shahad se shiriṅ Maut ko jine ke aadaab sikhaane waale
3 Apne haathoṅ pe uthaate haiṅ kabhi Khaibar ko Aur zara maqtal-e-Akbar ki taraf to dekho Burhe kaandhoṅ pe jawaaṅ laash uthaane waale
4 Dur taariki-e-aalam ko kiya Shah-e-Zaman Naam-e-Ahmad ke diye kar ke diloṅ meiṅ roshan Apne khaime ke charaaghoṅ ko bujhaane waale
5 Laasheṅ paamaal huiṅ qaidi bane ghar bhi jale Phir bhi paighaam Muhammad ka mitaaye na mita Tanha nau laakh ke lashkar ko haraane waale
6 Hum ne yuṅ Maisam o Salman baqa paayi hai Chaudah sadiyoṅ se jo nasloṅ meiṅ aza aayi hai Nasl dar nasl azaadaar banaane waale