میرے مولا آنے والے ہیں
Mere Maula Aane
Show
میرے مولا آنے والے ہیں
میرے مولا آنے والے ہیں
اگر حسین کے مقصد سے ہے وفاداری
تو پھر امام کی نصرت ہے یہ عزاداری
امام عصر کو گھر میں اگر بلانا ہے
بس اتنا کرنا ہے فرش عزا بچھانا ہے
گھر گھر میں بچھا دو فرش عزا
مولا کو دینا ہے پرسہ
کہ بس مولا آنے والے ہیں
ہاں میرے مولا آنے والے ہیں
۱
صدیاں گزری ہیں پھر بھی سفر
وہ کربوبلا کا جاری ہے
یہ رسم عزاداری ہے کیا
یہ نصرت کی تیاری ہے
ناصر ہوں گے سب اہلِ عزا
۲
جاری ہے عزاداری شہ کی
بچے ہیں لہو میں آج بھی تر
اے ماؤں شہیدوں کی ماؤں
قربان کیا ہے تم نے پسر
مولا خود دیں گے اس کا صلہ
۳
زہرا کا پسر اب آئے گا
آزاد کرائے گا کعبہ
آئے گا وارث کربوبلا
بدلہ وہ لے گا بقیہ کا
ہوگا تعمیر ہر اک روضہ
۴
اے ماؤں بہنوں شرم و حیا
اور عزت کا بھی دھیان رہے
زہرا کی محنت کا ہو خیال
اور زینب کا بھی مان رہے
رکھنا ہے تمہیں قائم پردہ
۵
زہرا کے پسر کے خاطر اب
گھر کیسے سجایا ہے تم نے
ماحول ہو مولا کے قابل
خود ان کو بلایا ہے تم نے
در کھول کے بیٹھو تقوے کا
۶
قاسم کے ٹکڑوں کا بدلہ
ہر شام کے پتھر کا بدلہ
زہرا کی مصیبت کا بدلہ
زینب کی چادر کا بدلہ
جاؤ گے کہاں تم اہلِ جفا
۷
بن ہاتھ گرے جب گھوڑے سے
کیسی یہ مصیبت تھی ہائے
غازی کی ایک ہی خواہش ہے
مولا کی زیارت ہو جائے
اے موت دے مہلت مجھ کو ذرا
۸
مولا سب سے پہلے لیں گے
محسن کی شہادت کا بدلہ
بچی کے طمانچوں کا بدلہ
سجاد کی زحمت کا بدلہ
یا ثاراللہ کا ہے نعرہ
۹
اے شادماں اور قمر اب ہم
دشمن کے مقابل ڈٹ جائیں
ٹکڑے ہوں لاکھ دھماکوں سے
کٹتے ہیں ہاتھ تو کٹ جائیں
تھامے رہیں پرچم مولا کا
گھر گھر میں بچھا دو فرش عزا
مولا کو دینا ہے پرسہ
Mere Maula Aane
Mere Maula aane waale haiṅ
Agar Husain ke maqsad se hai wafaadaari
To phir Imam ki nusrat hai ye azaadaari
Imam-e-asr ko ghar meiṅ agar bulaana hai
Bas itna karna hai farsh-e-aza bichhaana hai
Ghar ghar meiṅ bichha do farsh-e-aza
Maula ko dena hai pursa
Ke bas Maula aane waale haiṅ
Haaṅ mere Maula aane waale haiṅ
1
Sadiyaaṅ guzri haiṅ phir bhi safar
Wo Karbobala ka jaari hai
Ye rasm-e-azaadaari hai kya
Ye nusrat ki tayyaari hai
Naasir hoṅ ge sab ahl-e-aza
2
Jaari hai azaadaari Shah ki
Bachche haiṅ lahu meiṅ aaj bhi tar
Ae maaṅoṅ shahidoṅ ki maaṅoṅ
Qurbaan kiya hai tum ne pisar
Maula khud deṅ ge is ka sila
3
Zehra ka pisar ab aaye ga
Aazaad karaaye ga Kaaba
Aaye ga waaris-e-Karbobala
Badla wo le ga baqiyya ka
Hoga taamir har ik rauza
4
Ae maaṅoṅ behnoṅ sharm o haya
Aur izzat ka bhi dhyaan rahe
Zehra ki mehnat ka ho khayaal
Aur Zainab ka bhi maan rahe
Rakhna hai tumheṅ qaaim parda
5
Zehra ke pisar ke khaatir ab
Ghar kaise sajaaya hai tum ne
Maahaul ho Maula ke qaabil
Khud un ko bulaaya hai tum ne
Dar khol ke baitho taqwe ka
6
Qaasim ke tukroṅ ka badla
Har Shaam ke patthar ka badla
Zehra ki musibat ka badla
Zainab ki chaadar ka badla
Jaaoge kahaaṅ tum ahl-e-jafa
7
Bin haath gire jab ghore se
Kaisi ye musibat thi haaye
Ghaazi ki ek hi khwaahish hai
Maula ki ziyaarat ho jaaye
Ae maut de mohlat mujh ko zara
8
Maula sab se pehle leṅ ge
Mohsin ki shahaadat ka badla
Bachchi ke tamaachoṅ ka badla
Sajjad ki zehmat ka badla
Ya Saarallah ka hai naara
9
Ae Shadmaaṅ aur Qamar ab ham
Dushman ke muqaabil dat jaayeṅ
Tukre hoṅ laakh dhamaakoṅ se
Katte haiṅ haath to kat jaayeṅ
Thaame raheṅ parcham Maula ka
Ghar ghar meiṅ bichha do farsh-e-aza
Maula ko dena hai pursa