میرے ہاتھ نہیں ہیں
mere hath nahin hain

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Main kaise uthun aaqa, mere haath nahin hain
Mere haath nahin hain
Paaun nhi chu sakta, mere haath nahin hain
Mere haath nahin hai
1
Aaqa ye ghulaami ka sila kaisa diya hai
Kis pyaar se sar aapne zaanu pa rakha hai
Uthkar salaam karta, mere haath nahin hai
2
Jo haath tere kaam na aye mere maula
Bachpan me hi kat jate to hota bohot acha
Tum inko nahin chuna, mere haath nahin hain
3
Aaza-e-badan tum ho to paikar nahin hota
Ma’zur pe gharwala bhi muztar nahin hota
Ghar mujhko na le jana, mere haath nahin hai
4
Dil rota hai marte hue, kiya be-adabi hai,
Jin haatho ke katne se qamar Sheh ki jhuki hai
Sidhi nahin kar sakta, mere haath nahin hain
5
Bhaari hai alam tum na uthao ise maula
Tuti hai qamar dekhiye tanha na uthega
Aqa main hun sharminda, mere haath nahin hai
6
Godi main Sakina ko uthauga main kaise
Kis tarha nibhaunga ghulaami ke tarike
Ye kam to nahin sadma, mere haath nahin hain
7
Main zaamin-e-chaadar tha, muhaafiz tha haram ka
Ab zinda bhi reh jaun to kya faida Aaqa
Zainab ko bata dena, mere haath nahin hain
8
Jab zeen se zamin ki taraf aane laga maula
Na koi madadgaar tha, na koi sahara
Us waqt khayaal aya, mere haath nahin hain
9
Ye nauha-e-Ghazi sar-e-majlis jo Raza hai
Rehan-e-aza kehta hai ye maujiza kya hai
Ye haath hai Ghazi ka, mere haath nahin hain