وہ زخمی علی اور وہ اکیسویں کی شب
Mere Bachon Meri
Show
وہ زخمی علی اور وہ اکیسویں کی شب
وہ زخمی علی اور وہ اکیسویں کی شب
بچوں سے علی بولے قریب آؤ میرے سب
سر باپ کا چوما تو یہ کہنے لگی زینب
سایہ میرے بابا کا سلامت رہے یا رب
یہ سنتے ہی منہ پھیر کے رونے لگے حیدر
کیوں روتے ہیں جب بچوں نے یہ پوچھا لپٹ کر
میرے بچوں میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
کل یہیں سے اٹھے گا جنازہ میرا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۱
جب کفن اوڑھ کر گھر سے جاؤں گا میں
جانتا ہوں بہت یاد آؤں گا میں
مجھ کو ڈھونڈو گے حجرے میں جا کر مگر
چاہ کر بھی تمہیں مل نہ پاؤں گا میں
دیکھ لو چہرہ جی بھر کے تم باپ کا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۲
حال بازار کا آیا جب رو برو
رو کے حیدر نے بیٹوں سے کی گفتگو
میرے سر سے جو آیا ہے بہہ کر ابھی
صاف کر دو میری آنکھ سے وہ لہو
دیکھ لوں میں ذرا بیٹیوں کی ردا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۳
دیکھو عباس جب قید ہوگی بہن
نہ ہی تم ہوں گے اور نہ حسین و حسن
میرے سجاد کو پاس لاؤ میرے
اس نے چلنا ہے کانٹوں پہ سہہ کر چبھن
بوسہ لے لوں میں سجاد کے پاؤں کا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۴
میرے ہوتے ہوئے در گرایا گیا
فاطمہ کو طمانچہ لگایا گیا
مر چکا تھا وہیں جب میرے سامنے
ہاتھ پر تازیانہ لگایا گیا
دفن ہو جائے اب بدن بھی میرا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۵
میری ایک ضرب پر دیکھو رونا نہیں
یاد کرنا وہ خنجر وہ جلتی زمیں
ہوگا جب ماں کی گودی میں بیٹے کا سر
تیرہ ضربیں چلائے گا جس پر لعیں
آخری بار میں چوم لوں وہ گلا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۶
جن کو کھانا کھلاتا تھا جا کر علی
ان کا میرے علاوہ نہیں ہے کوئی
تم خیال ان یتیموں کا رکھنا حسن
بیٹھنا ساتھ جب یاد آئے میری
کل سے دوں گا انہیں کیسے میں حوصلہ
میرے بچوں میری آخری رات ہے
۷
اے رضا اور ذیشان کیا وقت تھا
ہاتھ زینب کا شبر کو سونپا گیا
سر جھکا کر بہت روئی ام البنین
آخری سانس میں جب علی نے کہا
سونپ دوں ہاتھ غازی کو شبیر کا
میرے بچوں میری آخری رات ہے
Mere Bachon Meri
Wo zakhmi Ali aur wo ikkiswiṅ ki shab
Bachchoṅ se Ali bole qarib aao mere sab
Sar baap ka chuma to ye kehne lagi Zainab
Saaya mere baba ka salaamat rahe ya Rab
Ye sunte hi muṅh pher ke rone lage Haidar
Kiuṅ rote haiṅ jab bachchoṅ ne ye puchha lipat kar
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
Ghar meiṅ kohraam tha jab Ali ne kaha
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
Kal yahiṅ se uthega janaaza mera
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
1
Jab kafan orh kar ghar se jaauṅ ga maiṅ
Jaanta huṅ bahut yaad aauṅ ga maiṅ
Mujh ko dhundo ge hujre meiṅ jaa kar magar
Chaah kar bhi tumheṅ mil na paauṅ ga maiṅ
Dekh lo chehra ji bhar ke tum baap ka
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
2
Haal baazaar ka aaya jab ru ba ru
Ro ke Haidar ne betoṅ se ki guftugu
Mere sar se jo aaya hai beh kar abhi
Saaf kar do meri aankh se wo lahu
Dekh luṅ maiṅ zara betiyoṅ ki rida
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
3
Dekho Abbas jab qaid hogi behen
Na hi tum hoge aur na Husain o Hasan
Mere Sajjad ko paas laao mere
Us ne chalna hai kaantoṅ pe seh kar chubhan
Bosa le luṅ maiṅ Sajjad ke paaoṅ ka
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
4
Mere hote hue dar giraaya gaya
Fatima ko tamaacha lagaaya gaya
Mar chuka tha wahiṅ jab mere saamne
Haath par taaziyaana lagaaya gaya
Dafn ho jaaye ab badan bhi mera
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
5
Meri ek zarb par dekho rona nahiṅ
Yaad karna wo khanjar wo jalti zamiṅ
Hoga jab maaṅ ki godi meiṅ bete ka sar
Terah zarbeṅ chalaaye ga jis par laiṅ
Aakhri baar maiṅ chum luṅ wo gala
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
6
Jin ko khaana khilaata tha jaa kar Ali
Un ka mere ilaawa nahiṅ hai koi
Tum khayaal un yatimoṅ ka rakhna Hasan
Baithna saath jab yaad aaye meri
Kal se duṅ ga unheṅ kaise maiṅ hausla
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai
7
Ae Raza aur Zishan kya waqt tha
Haath Zainab ka Shabbar ko sauṅpa gaya
Sar jhuka kar bahut royi Ummul Banin
Aakhri saans meiṅ jab Ali ne kaha
Sauṅp duṅ haath Ghaazi ko Shabbir ka
Mere bachchoṅ meri aakhri raat hai