دونوں جہاں روشن ہوئے احمد کے نور سے
Mera Husain Shariyat
Show
دونوں جہاں روشن ہوئے احمد کے نور سے
دونوں جہاں روشن ہوئے احمد کے نور سے
میرا حسین شریعت کی روشنائی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
یزید جبر کی آغوش کا پروندا ہے
حسین حق و صداقت کی رہنمائی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
۱
اس کی ذات سے کائنات میں اجالا ہے
بجز حسین کے تاریکیوں آئی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
۲
بجز بشر کے ملائک فلک ابر روئے
علی کے لال کو روئی یہ کل خدائی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
۳
عطا کے بعد یہ حر نے کہا کہ اے مولا
حسین تیری طبیعت میں کبریائی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
۴
ہر ایک بات یقیں سے میں کہہ رہا ہوں امیر
علی ولی کے ملنگوں میں بے ریائی ہے
کہ جس نے دیں پہ بہتر کی جاں لٹائی ہے
Mera Husain Shariyat
Donoṅ jahaaṅ roshan hue Ahmad ke nur se
Mera Husain shariat ki roshnaai hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai
Yazid jabr ki aaghosh ka parwanda hai
Husain haq o sadaaqat ki rahnumaai hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai
1
Usi ki zaat se kaainaat meiṅ ujaala hai
Bajuz Husain ke taarikiyoṅ se aayi hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai
2
Bajuz bashar ke malaaik falak abr roye
Ali ke laal ko royi ye kul khudaai hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai
3
Ataa ke baad ye Hur ne kaha ke Ae Maula
Husain teri tabiat meiṅ kibriyaai hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai
4
Har ek baat yaqiṅ se maiṅ keh raha huṅ Amir
Ali Wali ke malangoṅ meiṅ beriyaai hai
Ke jis ne diṅ pe bahattar ki jaaṅ lutaai hai