محشر کی صبح آج نمایاں ہے شام میں
Mehshar Ki Subah Aaj
Show
محشر کی صبح آج نمایاں ہے شام میں
محشر کی صبح آج نمایاں ہے شام میں
کنبہ شفیع حشر کا ہے ازدحام میں
سر ننگے روح فاطمہ ہے اہتمام میں
خاصان ذوالجلال ہے بلوائے عام میں
جبریل کی خزادیاں تشریف لائیں ہیں
مشکل کشا کی بیٹیاں بندی میں آئی ہیں
۱
ہیں بیچ میں کھلے ہوئے آل عبا کے سر
نیزوں پہ ان کے گرد ہیں فوج خدا کے سر
بچوں کے سر بزرگوں کے سر اقربا کے سر
روتے ہیں وارثوں کے سروں کو دکھا کے سر
سر رکھ کے زانوؤں پہ جو وارث کو روتے ہیں
ظالم سروں میں نیزوں کی نوکیں چبھوتے ہیں
۲
نیزے پہ حرملہ کے چمکتا ہے اک ہلال
بکھرے ہوئے ہیں چاند سے منہ پر جھنڈولے بال
اولاد والے کہتے ہیں اے رب ذوالجلال
اس بے زباں کے خون کا کس نے کیا وبال
گردش میں ہائے ہائے یہ کس کا ستارہ ہے
لے کر بلائیں کہتی تھی بانو ہمارا ہے
۳
ناگاہ ہوا یزید کا دروازہ آشکار
حاضر نقیب و حاجب و دربان و چوبدار
تیغ الم کیے ہوئے جلاد و نابکار
مجرای بے حساب تماشائی بے شمار
ایوان میں بھی رقص کا ساماں تمام تھا
پر انتظار عترت خیرالانام تھا
۴
بولے سب ایک بار وہ آئے گنہگار
اے قصور وار وہ آئے گنہگار
جلاد و ہوشیار وہ آئے گنہگار
وہ آئے بے دیار وہ آئے گنہگار
جب سے کہ آسمان خدا نے بنائے ہیں
آل رسول آج ہی بندی میں آئے ہیں
۵
روکا عمر نے بڑھ کے علم کو سپاہ کو
مجراح پر آ جما کے کیا بارگاہ کو
اور ہنس کے دیکھا آل رسالت پناہ کو
آواز دی نبیرۂ شیر الہ کو
ہاں ہاں مہار روکنا اونٹوں کا تھامنا
اب ہے یزید کے در دولت کا سامنا
۶
پہنچے مراد کو سفر اپنا تمام ہے
اترو اسیروں اترو ادب کا مقام ہے
آگے تو آستانۂ سلطان شام ہے
دیکھو تو کیا جلال ہے کیا احتشام ہے
اس کی ولا میں عرش کو ہم نے ہلا دیا
گھر پنجتن کا خاک میں بالکل ملا دیا
۷
سننا یہ تھا کہ سب کے جگر پر چھری چلی
اونٹوں سے اتری بیبیاں کہہ کہہ کے یا علی
آنکھیں پھرا کے رہ گئی بانو کی لاڈلی
روح حسین کو ہوئی جنت میں بے کلی
طاقت بدن کی گھٹ گئی اور ضعف بڑھ گیا
اترے جو بے سہارے تو دم سب کا چڑھ گیا
۸
سینے میں دم ابھی نہ سمائے تھے ہے غضب
جو آئے ریسماں لیے ہاتھوں میں بے ادب
گھبرا کے پوچھا بیواؤں نے تجویز کیا ہے اب
بولا عمر کے مجلس حاکم میں ہے طلب
منظور ہے کہ روح علی پھر ملول ہو
مجمع میں روح بکھرائے آل رسول ہو
۹
مظلومیت سے رو کے یہ مظلوموں نے کہا
حاکم کی یہ خوشی ہے تو پھر عذر ہم کو کیا
بازار میں تو پھر چکے بے مقنہ و ردا
آساں کرے گا مشکلیں دربار بھی خدا
حاضر ہیں لے چلو ہمیں گمراہوں لے چلو
سر پر نہیں حسین جہاں چاہے لے چلو
۱۰
نیزوں پہ تھے نصب جو شہیدوں کے سر تمام
زینب نے بڑھ کے بھائی کے سر کو کیا سلام
چلائی کیوں ذبیحہ خدا شاہ تشنہ کام
مرضی ہے کیا حضور کی کہتے ہیں کیا امام
دربار مٹ گیا تیرا خوں رن میں بہہ گیا
میرے لئے یزید کا دربار رہ گیا
۱۱
پر اتنا ٹھہرو وارثوں کے سر سے پوچھ لیں
شاہ امم کے فرق مطہر سے پوچھ لیں
دربار جانے کو علی اکبر سے پوچھ لیں
عباس ابن حیدر صفدر سے پوچھ لیں
مردہ نہ سمجھو زندہ یہ حیدر کے پیارے ہیں
مختار ہم نہیں ہیں یہ مالک ہمارے ہیں
Mehshar Ki Subah Aaj
Mehshar ki subah aaj numaayaaṅ hai Shaam meiṅ
Kunba Shafi-e-hashr ka hai izdihaam meiṅ
Sar nange ruh-e-Fatema hai ehtemaam meiṅ
Khaasaan-e-Zuljalaal hai balwa-e-aam meiṅ
Jibril ki khuzaadiyaaṅ tashrif laai haiṅ
Mushkil kusha ki betiyaaṅ bandi meiṅ aai haiṅ
1
Haiṅ bich meiṅ khule huwe Aal-e-Aba ke sar
Naizoṅ pe un ke gird haiṅ fauj-e-Khuda ke sar
Bachchoṅ ke sar buzurgoṅ ke sar aqraba ke sar
Rote haiṅ waarisoṅ ke saroṅ ko dikha ke sar
Sar rakh ke zaanuoṅ pe jo waaris ko rote haiṅ
Zaalim saroṅ meiṅ naizoṅ ki nokeṅ chubhote haiṅ
2
Naize pe Hurmala ke chamakta hai ek hilaal
Bikhre huwe haiṅ chaand se muṅh par jhundole baal
Aulaad waale kehte haiṅ ae Rabb-e-Zuljalaal
Is bezabaaṅ ke khun ka kis ne kiya wabaal
Gardish meiṅ haaye haaye ye kis ka sitaara hai
Le kar balaayeṅ kehti thi Banu hamaara hai
3
Naagaah huwa Yazid ka darwaaza aashkaar
Haazir naqib o haajib o darbaan o chobdaar
Tegh alam kiye huwe jallaad o naabakaar
Mujraai behisaab tamaashaai beshumaar
Aiwaan meiṅ bhi raqs ka saamaaṅ tamaam tha
Par intezaar-e-itrat-e-Khairul Anaam tha
4
Bole sab ek baar wo aaye gunahgaar
Aaye qusurwaar wo aaye gunahgaar
Jallaad o hoshiyaar wo aaye gunahgaar
Wo aaye bediyaar wo aaye gunahgaar
Jab se ke aasmaan Khuda ne banaaye haiṅ
Aal-e-Rasul aaj hi bandi meiṅ aaye haiṅ
5
Roka Umar ne barh ke alam ko sipaah ko
Mujrah par aa jama ke kiya baargaah ko
Aur haṅs ke dekha Aal-e-Risaalat panaah ko
Aawaaz di nabira-e-Sher-e-Ilaah ko
Haaṅ haaṅ mihaar rokna untoṅ ka thaamna
Ab hai Yazid ke dar-e-daulat ka saamna
6
Pahuṅche muraad ko safar apna tamaam hai
Utro asiro utro adab ka muqaam hai
Aage to aastaana-e-sultaan-e-Shaam hai
Dekho to kya jalaal hai kya ehteshaam hai
Is ki wila meiṅ arsh ko ham ne hila diya
Ghar Panjetan ka khaak meiṅ bilkul mila diya
7
Sunna ye tha ke sab ke jigar par chhuri chali
Untoṅ se utri Bibiyaaṅ keh keh ke Ya Ali
Aaṅkheṅ phira ke reh gayi Bano ki laadli
Ruh-e-Husain ko hui jannat meiṅ bekali
Taaqat badan ki ghat gayi aur zof barh gaya
Utre jo besahaare to dam sab ka charh gaya
8
Sine meiṅ dam abhi na samaaye the hai ghazab
Jo aaye resmaaṅ liye haathoṅ meiṅ beadab
Ghabra ke puchha bewaaoṅ ne tajwiz kya hai ab
Bola Umar ke majlis-e-haakim meiṅ hai talab
Manzur hai ke ruh-e-Ali phir malul ho
Majme meiṅ ruh bikhraaye Aal-e-Rasul ho
9
Mazlumiyat se ro ke ye mazlumoṅ ne kaha
Haakim ki ye khushi hai to phir uzr ham ko kya
Baazaar meiṅ to phir chuke bemaqna o rida
Aasaaṅ karega mushkil-e-darbaar bhi Khuda
Haazir haiṅ le chalo hameṅ gumraahoṅ le chalo
Sar par nahiṅ Husain jahaaṅ chaaho le chalo
10
Naizoṅ pe the nasb jo shahidoṅ ke sar tamaam
Zainab ne barh ke bhaai ke sar ko kiya salaam
Chillaai kiuṅ zabih-e-Khuda Shaah-e-tishna kaam
Marzi hai kya huzur ki kehte haiṅ kya Imam
Darbaar mit gaya tera khuṅ ran meiṅ beh gaya
Mere liye Yazid ka darbaar reh gaya
11
Par itna thehro waarisoṅ ke sar se puchh leṅ
Shaah-e-umam ke farq-e-mutahhar se puchh leṅ
Darbaar jaane ko Ali Akbar se puchh leṅ
Abbas ibn-e-Haidar-e-Safdar se puchh leṅ
Murda na samjho zinda ye Haidar ke pyaare haiṅ
Mukhtaar ham nahiṅ haiṅ ye maalik hamaare haiṅ