← All lyrics

مظلوم بے وطن یہ مرا مولا رضا ہے

Mazloom Be Watan Ye Mera Maula Raza Hai

Cover image for Mazloom Be Watan Ye Mera Moula Raza Hai
Language
Urdu
مظلوم بے وطن یہ مرا مولا رضا ہے ہائے جسکو زہر لوگوں مسلماں نے دیا ہے 1 مامون عباسی کی عنایت ہے یہ لوگوں ہائے آلِ پیمبر سے عداوت ہے یہ لوگوں سیدوں سے ذرا دیکھو، یہ امت کی وفا ہے 2 سب آنکھیں کرو بند دہا،ئی ہے دہائی اک بی بی عزادارو یہاں شام سے آئی لپٹی ہے جنازے سے، نہیں سر پہ ردا ہے 3 آئے ہیں جنازے پہ نبی، شاہِ امم بھی کلثوم، رقیہ بھی ہیں، معصومۂ قم بھی وہ بی بی ہے کربل میں، جلی جس کی عبا ہے 4 یوں لوٹا مسلمانوں نے زہرا کے چمن کو ہائے زہر دیا جیسے مرے مولا حسن کو دہرائی گئی ہائے، وہی اِس پہ جفا ہے 5 معصومۂ قم دیتی ہیں رو، رو کے دہائی اے کاش ملا دے کوئی مجھ سے مرا بھائی صغریٰ کی طرح ہائے، بہن جس سے جدا ہے 6 قربان مرے مولا پہ ہو جان ہماری مقروض مرے مولا کی یہ دنیا ہے ساری یہ مرتبہ ہو کے بھی غریب الغربا ہے 7 روتے ہیں فرشتے بھی زمیں، اور زماں بھی ہائے لوح و قلم، عرشِ بریں، کون و مکاں بھی خیر النساء کے لعل، کے ماتم کی صدا ہے

Roman Urdu

Mazloom Be Watan Ye Mera Maula Raza Hai Haye Jisko Zehar Logon Musalmaan ne Diya Hai 1 Mamoon Abbasi Ki Inaa,yat Hai Yeh Logo Haye Aal-e-Payamber Se Adaawat Hai Yeh Logo Syedon Se Zara Dekho, Yeh Ummat Ki Wafa Hai 2 Sab Aankhein Karo Band Duha,i Hai Duhai Ik Bibi Azadaro Yahan Sham Se Aayi Lipti Hai Janazay Se, Nahi Sar Pe Rida Hai 3 Aaye Hain Janazay Pe Nabi, Shah-e-Ummam Bhi Kulsoom, Ruqaiya Bhi Hain Masooma-e-Qum Bhi Woh Bibi Hai Karbal Mein, Jali Jis Ki Abaa Hai 4 Yun Loota Musalmano Ne Zah,ra Ke Chaman Ko Haye Zehar Diya Jaisay Mere Maula Hasan Ko Dohrayi Gayi Haye, Wohi Is Pe Jafa Hai 5 Masooma-e-Qum Deti Hain Ro, Ro Ke Duhai Ay Kash Mila De Koi Mujh Se Mera Bhai Sughra Ki Tarha Haye Behan, Jis Se Juda Hai 6 Qurban Mere Maula Pe Ho Jan Hamari Maqruz Mere Maula Ki Yeh Dunya Hai Sari Yeh Martaba Ho Ke Bhi Ghareeb Ul-Gurba Hai 7 Rotay Hain Farishtay Bhi Zameen, Aur Zamaan Bhi Haye Loh-o-Qalam Arsh-e-Barin Kaun-o-Makaan Bhi Khair-Un-Nisa Ke Laal, Ke Matam Ki Sada Hai