میت حسن حسین پدر کی اٹھاتے ہیں
Mayyat Hasan Husain
Show
میت حسن حسین پدر کی اٹھاتے ہیں
میت حسن حسین پدر کی اٹھاتے ہیں
اہلِ مدینہ خاک سروں پر اڑاتے ہیں
۱
اکیسویں کو ہو گئے مولا علی شہید
ہم سب اسی لیے غمِ حیدر مناتے ہیں
۲
کہتی ہے ایک ایک سے کلثوم کیا کروں
اماں کی طرح چھوڑ کے بابا بھی جاتے ہیں
۳
غم کی سیاہ آندھیاں اٹھتی ہے چار سو
آثار کائنات کے پھر ڈگمگاتے ہیں
۴
افسوس قتل کر دیا حیدر کو سجدے میں
ظالم خدا کے گھر کو بھی مقتل بناتے ہیں
۵
دیکھو عجیب حال ہے ام البنین کا
قابو میں دل نہیں ہے قدم ڈگمگاتے ہیں
۶
عباس بولے ماں سے کہ بابا سے پوچھیے
یہ تو بتائے کس پہ ہمیں چھوڑے جاتے ہیں
۷
صدمہ ہے جبریل کو پوچھو نہ اس قدر
آقا پہ اپنے خون کے آنسو بہاتے ہیں
۸
للہ کوئی پوچھ لے زینب کے دل کا حال
رہ رہ کے زخم سینے پر نشتر چلاتے ہیں
۹
جاتے ہوئے جنازے کو دیکھا تو رو پڑی
مرغابیوں میں بین ہے رزاق جاتے ہیں
۱۰
دامادِ مصطفیٰ کا ہے کیا مومنوں قصور
کیوں اشقیاء جنازے پہ پتھر چلاتے ہیں
۱۱
قسمت ہے جن کی اچھی وہی جاتے ہیں نجف
جو دور ہیں وہ اشکوں کی چادر چڑھاتے ہیں
۱۲
آنسو بہا کے شاہ پر تسکین ملتی ہے
دنیا کے غم رضا مجھے جب بھی ستاتے ہیں
Mayyat Hasan Husain
Mayyat Hasan Husain padar ki uthaate haiṅ
Ahl-e-Madina khaak saroṅ par uraate haiṅ
1
Ikkiswiṅ ko ho gaye Maula Ali shahid
Hum sab isi liye gham-e-Haidar manaate haiṅ
2
Kehti hai ek ek se Kulsum kya karuṅ
Amma ki tarah chhor ke Baaba bhi jaate haiṅ
3
Gham ki siyaah aandhiyaṅ uthti hai chaar su
Aasaar kaainaat ke phir dagmagaate haiṅ
4
Afsos qatl kar diya Haidar ko sajde meiṅ
Zaalim Khuda ke ghar ko bhi maqtal banaate haiṅ
5
Dekho ajib haal hai Ummul Banin ka
Qaabu meiṅ dil nahiṅ hai qadam dagmagaate haiṅ
6
Abbas bole maaṅ se ke Baaba se puchhiye
Ye to bataaye kis pe hameṅ chhore jaate haiṅ
7
Sadma hai Jibril ko puchho na is qadar
Aaqa pe apne khun ke aansu bahaate haiṅ
8
Lillaah koi puchh le Zainab ke dil ka haal
Reh reh ke zakhm sine par nashtar chalaate haiṅ
9
Jaate hue janaaze ko dekha to ro pari
Murghaabiyoṅ meiṅ bain hai Razzaaq jaate haiṅ
10
Daamaad-e-Mustafa ka hai kya mominoṅ qusur
Kiuṅ ashqiyaa janaaze pe patthar chalaate haiṅ
11
Qismat hai jin ki achchhi wohi jaate haiṅ Najaf
Jo dur haiṅ wo ashkoṅ ki chaadar charhaate haiṅ
12
Aansu baha ke Shaah par taskin milti hai
Dunya ke gham Raza mujhe jab bhi sataate haiṅ