Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

زینب کا چہرہ دیکھتے ہیں

Maula Rote Jaate Hai

Add to set
Show

زینب کا چہرہ دیکھتے ہیں

زینب کا چہرہ دیکھتے ہیں اور مولا روتے جاتے ہیں
عباس کے آنسو پونچھتے ہیں شبیر کو کچھ سمجھاتے ہیں
۱ سر دیکھ کے زخمی بابا کا جب بیٹیاں رونے لگتی ہیں بچوں کو تسلی کی خاطر زہرا کا درد سناتے ہیں
۲ زخمی مولا کی آنکھوں میں زخمی مشکیزہ پھرتا ہے عباسِ جری کے ہاتھوں سے قاتل کو جام پلاتے ہیں
۳ پھرتا ہے نگاہوں میں منظر بازاروں کا درباروں کا کچھ دیر کو گھر کے آنگن میں زینب کو ساتھ چلاتے ہیں
۴ اک روز اسی کوفے میں تمہیں بے پردہ حرم کو لانا ہے عابد کو لگا کر سینے سے بازار کا حال سناتے ہیں
۵ بھائی کے ساتھ میری زینب جائے گی جہاں جانے دینا یہ تم کو وصیت ہے میری عبداللہ سے فرماتے ہیں
۶ سادات کے رونے کی جو صدا پردے سے باہر آتی ہے پہنچا لو ان زواروں کو لوگوں سے کہتے جاتے ہیں
۷ معلوم تھا اک دن شانوں میں زینب کے رسن بندھ جائے گی شبر سے کہہ کے قاتل کے ہاتھوں سے رسن کھلواتے ہیں
۸ جب نزع کی ہچکی آتی ہے زینب پہ نظر رک جاتی ہے اللّٰہ تجھے آباد رکھے ہونٹوں سے دعا فرماتے ہیں
۹ پوچھا ہے تکلم زینب نے حیدر سے یہ آخری سانسوں میں کیوں بازو دیکھے جاتے ہیں کیوں سر کو چومے جاتے ہیں

Maula Rote Jaate Hai

Zainab ka chehra dekhte haiṅ Aur Maula rote jaate haiṅ
Abbas ke aansu poṅchhte haiṅ Shabbir ko kuchh samjhaate haiṅ
1 Sar dekh ke zakhmi baba ka Jab betiyaaṅ rone lagti haiṅ Bachchoṅ ko tasalli ki khaatir Zahra ka dard sunaate haiṅ
2 Zakhmi Maula ki aankhoṅ meiṅ Zakhmi mashkiza phirta hai Abbas-e-Jari ke haathoṅ se Qaatil ko jaam pilaate haiṅ
3 Phirta hai nigaahoṅ meiṅ manzar Baazaaroṅ ka darbaaroṅ ka Kuchh der ko ghar ke aangan meiṅ Zainab ko saath chalaate haiṅ
4 Ik roz isi Kufe meiṅ tumheṅ Beparda haram ko laana hai Aabid ko laga kar sine se Baazaar ka haal sunaate haiṅ
5 Bhaai ke saath meri Zainab Jaayegi jahaaṅ jaane dena Yeh tum ko wasiyat hai meri Abdullah se farmaate haiṅ
6 Saadaat ke rone ki jo sada Parde se baahar aati hai Pehchaan lo in aawaazoṅ ko Logoṅ se kehte jaate haiṅ
7 Maalum tha ik din shaanoṅ meiṅ Zainab ke rasan bandh jaayegi Shabbar se keh ke qaatil ke Haathoṅ se rasan khulwaate haiṅ
8 Jab naza ki hichki aati hai Zainab pe nazar ruk jaati hai Allah tujhe aabaad rakhe Hoṅtoṅ se dua farmaate haiṅ
9 Puchha hai Takallum Zainab ne Haidar se yeh aakhri saaṅsoṅ meiṅ Kiuṅ baazu dekhe jaate haiṅ Kiuṅ sar ko chume jaate haiṅ