Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

موجوں میں تلاطم ہے اور شور ہے محشر کا

Maujoṅ Meiṅ Talaatum

Add to set
Show

موجوں میں تلاطم ہے اور شور ہے محشر کا

موجوں میں تلاطم ہے اور شور ہے محشر کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۱ دشمن کے لیے تجھ میں جو غیض و غضب دیکھا کیونکر نہ جلال آئے وارث ہے تُو حیدر کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۲ ہتھیار میں غازی کے بس پاس ہے اک نیزہ ہر فرد ہے کیوں لرزہ پھر شام کے لشکر کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۳ مشکیزے میں دریا کو اب عمّوں لے آئیں گے رِہ جائے بھرم باقی یہ دُخترِ سرور کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۴ کس یاس سے اے زینب تُو بھائی کو تکتی ہے تنہا وہ محافظ ہو جیسے تیری چادر کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۵ رہوار سے مقتل میں بے دست گِرا کیسے کس طرح تصور ہو ایسے کسی منظر کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا
۶ شاہد میرے گھر ہو گی تا حشر عزاداری گھر پر علم میرے عباسِ دلاور کا اندازہ ہے دریا کو عباس کے تیور کا

Maujoṅ Meiṅ Talaatum

Maujoṅ meiṅ talaatum hai aur shor hai mahshar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
1 Dushman ke liye tujh meiṅ jo ghaiz o ghazab dekha Kiunkar na jalaal aaye waaris hai tu Haidar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
2 Hathyaar meiṅ Ghazi ke bas paas hai ek neza Har fard hai kiuṅ larza phir Shaam ke lashkar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
3 Mashkize meiṅ darya ko ab ammu le aayeṅge Reh jaaye bharam baaqi ye dukhtar-e-Sarwar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
4 Kis yaas se ae Zainab tu bhaai ko takti hai Tanha wo muhaafiz ho jaise teri chaadar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
5 Rahwaar se maqtal meiṅ bedast gira kaise Kis tarah tasawwur ho aise kisi manzar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka
6 Shahid mere ghar hogi taa hashr azaadaari Ghar par alam mere Abbas-e-Dilaawar ka Andaaza hai darya ko Abbas ke tewar ka