مشک و علم کا ذکر وفا کی نماز ہے
Mashk o Alam Ka
Show
مشک و علم کا ذکر وفا کی نماز ہے
مشک و علم کا ذکر وفا کی نماز ہے
ہمت کا تذکرہ ہے مگر دل گداز ہے
۱
الفاظ مختصر ہے حکایت دراز ہے
عباس پر نبی کے نواسے کو ناز ہے
عباس شیر حق کی اداؤں کا نام ہے
عباس فاطمہ کی دعاؤں کا نام ہے
۲
عباس ایک نام ہے انسانیت کا نام
عباس ایک پیام ہے اخلاص کا پیام
عباس ایک نظام ہے اخلاق جا نظام
عباس ایک امام ہے ایثار کا امام
۳
ایثار ہے وفا ہے مروت ہے صبر ہے
برسے گا کربلا میں جو کھل کر وہ ابر ہے
شان و شکوہِ جعفرِ طیار کی قسم
حمزہ سے بے مثال جگر دار کی قسم
۴
تقدیر سے دوش حیدر کرار کی قسم
اس عہد جلیل کے معیار کی قسم
ہم کیوں کہے کے ثانیء کرار کون ہے
کہہ دے گا خود عالم کے علمدار کون ہے
۵
جاتے ہیں اس شکوہ سے عباس با ہشم
ایک دوش پر ہے مشک تو ایک دوش پر علم
نظریں لگی ہوئی ہے سوے خیمہء حرم
کہتے ہیں یہ سمند سے ہاں تیز تر قدم
۶
نیکی کا ہے یہ کام تو عجلت غضب کی ہے
پیاسے رہے جو خود یہ کرامت نسب کی ہے
بھائی کے غم میں تھا جو محمد کا نورِ عین
آنکھوں میں اشک غم تھے تو سوکھے لبوں پہ بین
۷
روتے تھے اس طرف تو شہنشاہ مشرقین
عباس کے لبوں پہ مسلسل تھا یا حسین
بھائی کا نام لے کے جہاں سے گزر گئے
مشک و علم کی خیر ہو عباس مر گئے
Mashk o Alam Ka
Mashk o alam ka zikr wafa ki namaaz hai
Himmat ka tazkira hai magar dil gudaaz hai
1
Alfaaz mukhtasar hai hikaayat daraaz hai
Abbas par Nabi ke nawaase ko naaz hai
Abbas sher-e-haq ki adaaoṅ ka naam hai
Abbas Fatima ki duaaoṅ ka naam hai
2
Abbas ek naam hai insaaniyat ka naam
Abbas ek payaam hai ikhlaas ka payaam
Abbas ek nizaam hai akhlaaq ja nizaam
Abbas ek imaam hai isaar ka imaam
3
Isaar hai wafa hai murawwat hai sabr hai
Barsega Karbala meiṅ jo khul kar wo abr hai
Shaan o shikoh-e-Jafar-e-Tayyaar ki qasam
Hamza se bemisaal jigar daar ki qasam
4
Taqdir se dosh-e-Haidar-e-Karraar ki qasam
Is ahd-e-jalil ke miyaar ki qasam
Hum kiuṅ kahe ke saani-e-Karraar kaun hai
Keh dega khud aalam ke alamdaar kaun hai
5
Jaate haiṅ is shikoh se Abbas ba hasham
Ek dosh par hai mashk to ek dosh par alam
Nazreṅ lagi hui hai su-e-khaima-e-haram
Kehte haiṅ ye samand se haaṅ tez tar qadam
6
Neki ka hai ye kaam to ujlat ghazab ki hai
Pyase rahe jo khud ye karaamat nasab ki hai
Bhai ke gham meiṅ tha jo Muhammad ka nur-e-ain
Aankhoṅ meiṅ ashk-e-gham the to sukhe laboṅ pe bain
7
Rote the is taraf to shahanshaah-e-mashriqain
Abbas ke laboṅ pe musalsal tha Ya Husain
Bhai ka naam le ke jahaaṅ se guzar gaye
Mashk o alam ki khair ho Abbas mar gaye