مقتل سے لاش قاسم نوشاہ کی آئی ہے
Maqtal Se Laash
Show
مقتل سے لاش قاسم نوشاہ کی آئی ہے
مقتل سے لاش قاسم نوشاہ کی آئی ہے
۱
باراتیوں نے کیوں صف ماتم بچھائی ہے
دلہن کی مانگ خاک سے کس نے سجائی ہے
شادی کا ہے مکان فضا غم کی چھائی ہے
بیوہ ہوئی حسین کی بیٹی دہائی ہے
۲
خوشیاں تمام ہو گئیں آنسو بہائیے
دلہن کو لا کے فرش عزا پر بٹھائیے
شادی کی رسم ہو چکی بیوہ بنائیے
فضہ یہ کس کے مرنے کا پیغام لائی ہے
۳
بیوؤں کا درمیان یہ فروہ کی ہے بکا
پل میں میری خوشی کا جہاں خاک ہو گیا
بیٹے کا گھر بسانے کا ارمان تھا میرا
ابنِ حسن نے موت کی بستی بسائی ہے
۴
فرماتے تھے یہ شاہ غضب ہو گیا بہن
پامال رن میں ہو گیا نوشاہ کا بدن
اور ٹکڑے ٹکڑے ہو گیا بھیا کا گل بدن
قاسم کی لاش ہم نے عبا میں اٹھائی ہے
۵
جاوید کربلا کی یہ شادی عجیب تھی
لمحوں میں جو خوشی تھی وہ غم میں بدل گئی
شادی کوئی جہاں میں ہوتی ہے جب کبھی
ابنِ حسن کی یاد زمانے کو آئی ہے
Maqtal Se Laash
Maqtal se laash Qasim-e-Naushaah ki aayi hai
1
Baraatiyoṅ ne kiuṅ saf-e-maatam bichhaayi hai
Dulhan ki maang khaak se kis ne sajaayi hai
Shaadi ka hai makaan faza gham ki chhaayi hai
Bewa hui Husain ki beti duhaai hai
2
Khushiyaaṅ tamaam ho gayiṅ aansu bahaaiye
Dulhan ko laa ke farsh-e-aza par bithaaiye
Shaadi ki rasm ho chuki bewa banaaiye
Fizza ye kis ke marne ka paighaam laayi hai
3
Bewaoṅ ke darmiyaan ye Farwa ki hai buka
Pal meiṅ meri khushi ka jahaaṅ khaak ho gaya
Bete ka ghar basaane ka armaan tha mera
Ibn-e-Hasan ne maut ki basti basaayi hai
4
Farmaate the ye Shaah ghazab ho gaya behan
Paamaal ran meiṅ ho gaya naushaah ka badan
Aur tukre tukre ho gaya bhaiya ka gul badan
Qasim ki laash hum ne aba meiṅ uthaayi hai
5
Jaawed Karbala ki ye shaadi ajib thi
Lamhoṅ meiṅ jo khushi thi wo gham meiṅ badal gayi
Shaadi koi jahaaṅ meiṅ hoti hai jab kabhi
Ibn-e-Hasan ki yaad zamaane ko aayi hai