اربعین حسین
Main Us Gharib Ka
Show
اربعین حسین
اربعین حسین
بلا کے بن میں ستا کر جسے شہید کیا
آج چہلم ہے میرے اس غریب بھائی کا
کر دیا جس کا ستمگاروں نے ٹکڑے ٹکڑے
تھام کے اپنا جگر کہتی ہے بنتِ زہرا
پرائے دیس میں جس کو کفن تلک نہ ملا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
وہ جس کا دشت میں پامال ہو گیا لاشہ
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۱
لعیں پھراتا رہا جس کے حلق پر خنجر
سوار شمرِ ستمگر تھا جس کے سینے پر
میں جس کا دیکھ کے آئی ہوں بے کفن لاشہ
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۲
مجھکو ظالم نے گلا جس کا دکھا کر کاٹا
جس کے رخسار پہ ظالم نے طمانچہ مارا
دیکھ کر مجھکو سکوں ملتا تھا جس کا چہرہ
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۳
کہ جس کے پھول سے بچے کو نہ ملا پانی
اور اس کا تین دنوں ہائے بند تھا پانی
گلے میں جس کے پسر کے تھا تیر سہ شہبہ
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۴
بھتیجے بھانجے بھائی شہید جس کے ہوئے
میں دیکھتی رہی پامال ہو گئے لاشے
بس ایک روز میں وہ جس کی لٹ گئی دنیا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۵
وہ جس کا لال نہ تربت میں رہ سکا ہائے
لعین ننھا سا لاشہ نکال کر لائے
میں دیکھتی رہی نازک گلے کو کٹتا ہوا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۶
گری مزار پہ بھائی کی نوحہ خواں زینب
بتا دو بھیا میرے جائے اب کہاں زینب
یہ کہہ کے قبر پہ بیہوش ہو گئی دکھیا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۷
یہ دیکھ لو میرے بھائی ہے چھٹ گئی زینب
دلاؤں نظریں بھلا کس پہ لٹ گئی زینب
بلا کے دشت میں لوٹا گیا ہے گھر میرا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
۸
غریبِ فاطمہ زہرا کا اربعیں ہے یہ
جہاں پکارا کہ مولا کا اربعیں ہے یہ
دھڑکتا قلب ہے ریحان اور مبارک کا
میں اس غریب کا چہلم منانے آئی ہوں
Main Us Gharib Ka
Arbain-e-Husain
Bula ke ban meiṅ sata kar jise shahid kiya
Aaj chehlum hai mere us gharib bhai ka
Kar diya jis ka sitamgaaroṅ ne tukre tukre
Thaam ke apna jigar kehti hai Bint-e-Zahra
Paraye des meiṅ jisko kafan talak na mila
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
Wo jiska dasht meiṅ pamaal ho gaya laasha
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
1
Laiṅ phiraata raha jiske halq par khanjar
Sawaar Shimr-e-sitamgar tha jiske sine par
Maiṅ jiska dekh ke aayi huṅ bekafan laasha
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
2
Mujhko zaalim ne gala jiska dikha kar kaata
Jis ke rukhsaar pe zaalim ne tamaancha maara
Dekh kar mujhko sukuṅ milta tha jis ka chehra
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
3
Ke jis ke phul se bachche ko na mila paani
Aur uska tin dinoṅ haaye band tha paani
Gale meiṅ jiske pisar ke tha tir seh shohba
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
4
Bhatije bhaanje bhai shahid jiske hue
Maiṅ dekhti rahi pamaal ho gaye laashe
Bas ek roz meiṅ wo jiski lut gayi dunya
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
5
Wo jiska laal na turbat meiṅ reh saka haaye
Lain nanha sa laasha nikaal kar laaye
Maiṅ dekhti rahi naazuk gale ko katta hua
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
6
Giri mazaar pe bhai ki nauhakhwaṅ Zainab
Bata do bhaiya mere jaaye ab kahaaṅ Zainab
Ye keh ke qabr pe behosh ho gayi dukhiya
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
7
Ye dekh lo mere bhai hai chhut gayi Zainab
Dilaauṅ nazreṅ bhala kis pe lut gayi Zainab
Bala ke dasht meiṅ luta gaya hai ghar mera
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ
8
Gharib-e-Faatima Zahra ka arbaiṅ hai ye
Jahaaṅ pukaara ke Maula ka arbaiṅ hai ye
Dharakta qalb hai Rehaan aur Mubarak ka
Maiṅ us gharib ka chehlum manaane aayi huṅ