Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میں قید ہو کے بھی گھر کربلا سے جاؤں گی

Maiṅ Qaid Ho Ke Bhi

Add to set
Show

میں قید ہو کے بھی گھر کربلا سے جاؤں گی

میں قید ہو کے بھی گھر کربلا سے جاؤں گی یزیدیت کی عمارت گرا کے آؤں گی
۱ خدا کے شیر کی بیٹی بہن ہوں غازی کی ہلا کے رکھ دوں گی بنیاد ظلم و زاری کی جنہوں نے کاٹا ہے سر ان کے سر جھکاؤں گی
۲ مجھے قسم ہے تیری تشنہ لب شجاعت کی مجھے قسم ہے میرے بھائی تیری غربت کی امیر شام کو برباد کر کے آؤں گی
۳ کبھی حسین نظر آؤں گی کبھی عباس یتیم بچوں کو ہونے نہ دوں گی کچھ احساس ہر ایک ظلم و ستم سے انہیں بچاؤں گی
۴ جنہوں نے اے میرے بھیا تجھے کفن نہ دیا جنہوں نے چھینی اے بھائی میرے سر سے ردا میں ان کے رخ سے نقابوں کو ہٹاؤں گی
۵ مٹا کے چھوڑوں گی بھیا میں تیرے قاتل کو ہر اک محاذ پہ ہو گی شکست باطل کو ہر ایک محاذ پہ تیرا علم لگاؤں گی
۶ پکاری دیکھ کے مقتل کی سمت بنت علی سلام لے میرے بھائی میں سوئے شام چلی میں واپس آؤں گی اور غازی بن کے آؤں گی
۷ میں اہلِ ظلم کا جینا حرام کر دوں گی جہاں سے اپری جو قسمت تمام کر دوں گی جو وعدہ تو نے کیا تھا وہ میں نبھاؤں گی
۸ چلی یہ کہتے ہوئے کربلا سے وہ گوہر خطاب میرے پدر کا ہے فاتح خیبر جو آج میں نے کہا ہے وہ کر دکھاؤں گی

Maiṅ Qaid Ho Ke Bhi

Maiṅ qaid ho ke bhi ghar Karbala se jaauṅ gi Yazidiyat ki imaarat gira ke aauṅ gi
1 Khuda ke sher ki beti behan huṅ Ghazi ki Hila ke rakh duṅ gi bunyaad zulm o zaari ki Jinhoṅ ne kaata hai sar un ke sar jhukaauṅ gi
2 Mujhe qasam hai teri tashna lab shujaat ki Mujhe qasam hai mere bhai teri ghurbat ki Amir-e-Shaam ko barbaad kar ke aauṅ gi
3 Kabhi Husain nazar aauṅ gi kabhi Abbas Yatim bachchoṅ ko hone na duṅ gi kuch ehsaas Har ek zulm o sitam se unheṅ bachaauṅ gi
4 Jinhoṅ ne ae mere bhaiya tujhe kafan na diya Jinhoṅ ne chhini ae bhai mere sar se rida Maiṅ un ke rukh se naqaaboṅ ko hataauṅ gi
5 Mita ke chhoruṅ gi bhaiya maiṅ tere qaatil ko Har ik mahaaz pe hogi shikast baatil ko Har ek mahaaz pe tera alam lagaauṅ gi
6 Pukaari dekh ke maqtal ki simt Bint-e-Ali Salaam le mere bhai maiṅ su-e-Shaam chali Maiṅ waapas aauṅ gi aur Ghazi ban ke aauṅ gi
7 Maiṅ ahl-e-zulm ka jina haraam kar duṅ gi Jahaaṅ se upri jo qismat tamaam kar duṅ gi Jo waada tu ne kiya tha wo maiṅ nibhaauṅ gi
8 Chali ye kehte hue Karbala se wo Gohar Khitaab mere padar ka hai Faateh-e-Khaibar Jo aaj maiṅ ne kaha hai wo kar dikhaauṅ gi