میں چل بھی نہیں سکتا قیدی ہوں میں اماں
Main Chal Bhi Nahiṅ
Show
میں چل بھی نہیں سکتا قیدی ہوں میں اماں
ہائے سجاد، ہائے بیمار
میں چل بھی نہیں سکتا قیدی ہوں میں اماں
بازار شام جب آیا سجاد کا دل گھبرایا
رو رو کے پھپھی سے اپنی بیمار نے یہ فرمایا
آنکھوں سے لہو میری ایک پل بھی نہیں رکتا
میں چل بھی نہیں سکتا قیدی ہوں میں اماں
۱
یہ خوں جو بہتا ہے اس آنکھ کا ماتم ہے
مجھے طوق اور بیڑی کے غم سے بھی سوا غم ہے
ماں بہنیں پھپھی آئی بازار میں بے پردہ
۲
بس میرے کلیجے پہ اس وقت قضا اتری
ناموسِ محمد کی جس وقت ردا اتری
بازار میں آیا ہے زنداں یہ میرا لاشہ
۳
تطہیر کے پردہ دار امت نے پھرائے ہیں
اس بیبی کو لوگوں نے دربار دکھائے ہیں
جس بیبی کا بابا نے چہرہ بھی نہیں دیکھا
۴
جب اہلِ ستم ہم پر برسانے لگے پتھر
کیا جانے کیا گزری اس وقت میرے دل پر
جب ماں نے کہا مجھ سے تم کون ہو اے بیٹا
۵
لاچار بہن میری سہمے ہوئے رہتی تھی
معصوم سکینہ یہ ہر موڑ پہ کہتی تھی
کیا دفن ہوئے ہوں گے کربل میں میرے بابا
۶
عباس کو محشر تک یہ درد رلائے گا
زینب کے کھلے سر کو وہ دیکھ نہ پائے گا
غیرت کے خدا کا سر نیزے پہ نہیں رکتا
۷
اکبر کا حسیں چہرہ جو دیکھتے رہتے ہیں
سب کوفیوں شامی بھی رو رو کے یہ کہتے ہیں
اس حسن کے پیکر کی اب تک ہے ماں زندہ
۸
ماں بہنیں کھلے سر ہے راہوں میں تماشائی
اولاد محمد کو تقدیر کہاں لائی
پابند سلاسل ہوں کانٹوں سے بھرا رستہ
۹
تیرا ہی قلم مولا تیری ہی زباں مولا
فرحان اور شوکت کی اوقات کہاں مولا
توحید بھی کرتی ہے ہر وقت تیرا گریہ
Main Chal Bhi Nahiṅ
Haaye Sajjad, haaye bimaar
Maiṅ chal bhi nahiṅ sakta qaidi huṅ maiṅ ammaṅ
Baazaar-e-Shaam jab aaya Sajjad ka dil ghabraaya
Ro ro ke phuphi se apni bimaar ne ye farmaaya
Aankhoṅ se lahu meri ek pal bhi nahiṅ rukta
Maiṅ chal bhi nahiṅ sakta qaidi huṅ maiṅ ammaṅ
1
Ye khuṅ jo bahta hai is aankh ka maatam hai
Mujhe tauq aur beri ke gham se bhi sawa gham hai
Maaṅ bahneṅ phuphi aayi baazaar meiṅ beparda
2
Bas mere kaleje pe us waqt qaza utri
Naamus-e-Muhammad ki jis waqt rida utri
Baazaar meiṅ aaya hai zindaaṅ ye mera laasha
3
Tathir ke parda daar ummat ne phiraaye haiṅ
Us Bibi ko logoṅ ne darbaar dikhaaye haiṅ
Jis Bibi ka baba ne chehra bhi nahiṅ dekha
4
Jab ahl-e-sitam ham par barsaane lage patthar
Kya jaane kya guzri us waqt mere dil par
Jab maaṅ ne kaha mujh se tum kaun ho ae beta
5
Laachaar bahan meri sahme hue rahti thi
Maasum Sakina ye har mor pe kahti thi
Kya dafn hue hoṅge Karbal meiṅ mere baba
6
Abbas ko mahshar tak ye dard rulaaye ga
Zainab ke khule sar ko wo dekh na paaye ga
Ghairat ke khuda ka sar neze pe nahiṅ rukta
7
Akbar ka hasiṅ chehra jo dekhte rahte haiṅ
Sab kufiyoṅ shaami bhi ro ro ke ye kahte haiṅ
Is husn ke paikar ki ab tak hai maaṅ zinda
8
Maaṅ bahneṅ khule sar hai raahoṅ meiṅ tamaashaai
Aulaad-e-Muhammad ko taqdir kahaaṅ laayi
Paaband-e-salaasil huṅ kaaṅtoṅ se bhara rasta
9
Tera hi qalam maula teri hi zabaaṅ maula
Farhan aur Shaukat ki auqaat kahaaṅ maula
Tauhid bhi karti hai har waqt tera girya