Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

دبے جب ہم نہ اگلوں سے تو ان کی کیا حقیقت ہے

Magar Bas Hai Khayal

Add to set
Show

دبے جب ہم نہ اگلوں سے تو ان کی کیا حقیقت ہے

دبے جب ہم نہ اگلوں سے تو ان کی کیا حقیقت ہے مگر بس ہے خیال اس کا کہ یہ نانا کی امت ہے
۱ بحمدللہ اپنے بازوؤں میں حق کی قوت ہے گراں ثقلین سے لا ریب اپنی ایک ضربت ہے بشر کیا شے ہے مافوق البشر اپنی شجاعت ہے پرِ جبریل سے پوچھو کہ ہم میں کتنی طاقت ہے ہمارے سامنے سب ہیچ یہ فوجوں کی کثرت ہے
۲ عرب کے سورماؤں نے مقابل آ کے دیکھا ہے سرِ میدان شعلۂ تیغ کا بھڑکا کے دیکھا ہے نہ بگڑا کچھ تو پھر تیروں کا می برسا کے دیکھا ہے مسلسل بدر سے صفین تک ٹکرا کے دیکھا ہے
۳ جو کھینچوں تیغ پیدل جا کے اسواروں سا ٹکرائیں کہ شعلے کفر کے دوزخ کے انگاروں سے ٹکرائیں یہ باطل کی چٹانیں جا کے کہساروں سے ٹکرائیں یہ بزدل بھاگ کر کوفے کی دیواروں سے ٹکرائیں بحمدللہ مجھ تنہا کے اندر اتنی طاقت ہے
۴ جوانانِ بنی ہاشم تو ہے شب ہی سے آمادہ نمازِ صبح سے تیغیں دھرے ہیں زیرِ سجادہ وہ دیکھو وہ حسن کا لال وہ اکبر سا شاہزادہ علم کے زیرِ سایہ سب سے پہلی صف میں استادہ میرے شیروں کو کوئی ٹوک دے یہ کس میں ہمت ہے
۵ فقط اکبر میرا نو لاکھ کے لشکر کو کافی ہے یہ تیشہ ہی فقط ہر سنگ ہر پتھر کو کافی ہے یہ پیری کا عصا ہر سانپ ہر اژدر کو کافی ہے علی کی تیغ ہے سارے زمانے بھر کو کافی ہے فقط کہہ دوں کہ ہاں جانِ پدر جاؤ اجازت ہے
۶ یہ دیکھیں گے کہ پیاسے تین دن کے کیسے لڑتے ہیں بہتر جن کو ہم لائے ہیں ان کے کیسے لڑتے ہیں بڑوں کا ذکر کیا سن کم ہے جن کی کیسے لڑتے ہیں یہ تیز و تند طوفانوں سے تنکے کیسے لڑتے ہیں یہ سمجھے ہیں کہ بس موقوف پانی پر شجاعت ہے
۷ یہ سمجھے ہیں میرے موقوف سے مجھ کو دور کر لیں گے بہ زورِ تیغ بیعت پر مجھے مجبور کر لیں گے ہٹا کر شمع پروانوں سے کسبِ نور کر لیں گے سوادِ شام سے حاصل چراغِ طور کر لیں گے ہمیں بھی دیکھنا ہے آج ان میں کتنی طاقت ہے

Magar Bas Hai Khayal

Dabe jab hum na agloṅ se to in ki kya haqiqat hai Magar bas hai khayal is ka ke ye nana ki ummat hai
1 Bahamdulillah apne baazuoṅ meiṅ haq ki quwwat hai Garaaṅ saqlain se laaraib apni ek zarbat hai Bashar kya she hai maafauq-ul-bashar apni shujaat hai Par-e-Jibril se puchho ke hum meiṅ kitni taaqat hai Hamare saamne sab hech ye faujoṅ ki kasrat hai
2 Arab ke surmaaoṅ ne muqaabil aa ke dekha hai Sar-e-maidan shola-e-tegh ka bharka ke dekha hai Na bigra kuchh to phir tiroṅ ka mi barsa ke dekha hai Musalsal Badr se Siffin tak takra ke dekha hai
3 Jo khainchuṅ tegh paidal jaa ke aswaaroṅ sa takraaeṅ Ke shole kufr ke dozakh ke angaaroṅ se takraaeṅ Ye baatil ki chataaneṅ jaa ke kohsaaroṅ se takraaeṅ Ye buzdil bhaag kar Kufe ki diwaaroṅ se takraaeṅ Bahamdulillah mujh tanha ke andar itni taaqat hai
4 Jawanaan-e-Bani Hashim to hai shab hi se aamaada Namaaz-e-subh se tegheṅ dhare haiṅ zer-e-sajjaada Wo dekho wo Hasan ka laal wo Akbar sa shahzaada Alam ke zer-e-saaya sab se pehli saf meiṅ istaada Mere sheroṅ ko koi tok de ye kis meiṅ himmat hai
5 Faqat Akbar mera nau laakh ke lashkar ko kaafi hai Ye tesha hi faqat har sang har patthar ko kaafi hai Ye piri ka asa har saamp har azhdar ko kaafi hai Ali ki tegh hai saare zamaane bhar ko kaafi hai Faqat keh duṅ ke haaṅ jaan-e-pidar jaao ijaazat hai
6 Ye dekheṅge ke pyaase tin din ke kaise larte haiṅ Bahattar jin ko hum laae haiṅ un ke kaise larte haiṅ Baroṅ ka zikr kya sin kam hai jin ke kaise larte haiṅ Ye tez o tund tufaanoṅ se tinke kaise larte haiṅ Ye samjhe haiṅ ke bas mauquf paani par shujaat hai
7 Ye samjhe haiṅ mere mauqaf se mujh ko dur kar leṅge Ba-zor-e-tegh baiat par mujhe majbur kar leṅge Hata kar shama parwaanoṅ se kasb-e-nur kar leṅge Sawaad-e-Shaam se haasil charaagh-e-Tur kar leṅge Hameṅ bhi dekhna hai aaj in meiṅ kitni taaqat hai