مدد حسین کی کرنے حبیب آئے ہیں
Madad Husain Ki
Show
مدد حسین کی کرنے حبیب آئے ہیں
مدد حسین کی کرنے حبیب آئے ہیں
قدم قدم پہ وفا کے نقوش پائے ہیں
۱
بدل رہا ہے زمانے کا جذبۂ نصرت
ضعیف ہو کے جوانی کو ساتھ لائے ہیں
۲
یہ سن یہ سال یہ عزمِ وفا مبارک ہو
گلے لگانے تمہیں خود امام آئے ہیں
۳
لب حسین کی جنبش میں ہے نگاہ سب کچھ
پیام سن کے شہادت کا مسکرائے ہیں
۴
تمہیں نبی کی نواسی سلام کرتی ہے
حبیب مرتبہ دیکھو تو کیسے پائے ہیں
۵
وہ ہو حبیب کے مسلم زہیر ہو کہ ہلال
قسم ہے ان کے کلیجے پہ تیر کھائے ہیں
۶
وہ ہو رسول نبی یا پیغمبران سلف
حسین کی طرح اصحاب کس نے پائے ہیں
۷
قضا بھی فضل شہادت کے وقت کہتی ہے
حبیب دیکھو سرہانے حسین آئے ہیں
Madad Husain Ki
Madad Husain ki karne Habib aaye haiṅ
Qadam qadam pe wafa ke nuqush paaye haiṅ
1
Badal raha hai zamaane ka jazba-e-nusrat
Zaif ho ke jawaani ko saath laaye haiṅ
2
Ye sin ye saal ye azm-e-wafa mubaarak ho
Gale lagaane tumheṅ khud Imam aaye haiṅ
3
Lab-e-Husain ki jumbish meiṅ hai nigaah sab kuchh
Payaam sun ke shahaadat ka muskuraaye haiṅ
4
Tumheṅ Nabi ki nawaasi salaam karti hai
Habib martaba dekho to kaise paaye haiṅ
5
Wo ho Habib ke Muslim Zuhair ho ke Hilaal
Qasam hai un ke kaleje pe tir khaaye haiṅ
6
Wo ho Rasul Nabi ya payambaraan-e-salaf
Husain ki tarah ashaab kis ne paaye haiṅ
7
Qaza bhi Fazl shahaadat ke waqt kehti hai
Habib dekho sarhaane Husain aaye haiṅ