Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

احساسِ یتیمی ہے ویراں ہے علی کا گھر

Maa Bhi Na Ho

Add to set
Show

احساسِ یتیمی ہے ویراں ہے علی کا گھر

احساسِ یتیمی ہے ویراں ہے علی کا گھر بن باپ کے یہ پہلی رات آئی ہے بچوں پر روتی تھیں کہیں زینب شبیر کہیں شبر فضہ نے جو دیکھا تو کہنے لگیں رو رو کر ماں بھی نہ ہو دنیا میں اور باپ بھی مر جائے اللہ کسی پر بھی یہ وقت نہیں آئے
۱ یہ رات خدا جانے کس حال میں گزرے گی بچوں کی نگاہوں میں تصویر ہے بابا کی بابا سے جدا ہو کر کس طرح جیا جائے
۲ میت جہاں رکھی تھی زینب وہیں بیٹھی ہے عباس کے چہرے کو اب دیکھ کے روتی ہے کہتی ہے کوئی میرے بابا کو بلا لائے
۳ ہاتھوں میں رقیہ کے بابا کا مصلیٰ ہے کلثوم کے ہاتھوں میں بابا کا عمامہ ہے بابا نہیں آئیں گے اب کون یہ بتلائے
۴ ماں یاد جو آئے تو ہو آتے تھے تربت پر رخصت کیا بابا کو حسنین نے یہ کہہ کر ملنے کہاں جائیں گے جب باپ کی یاد آئے
۵ اب مجھ کو رلاتا ہے شہزادی کا وہ کہنا فضہ میرے بچوں سے تم دور نہیں رہنا ماں باپ کے بن جینا مشکل ہے بہت ہائے
۶ اس عالمِ غربت میں ماں زندہ اگر ہوتی بن باپ کے بچوں کو سینے سے لگا لیتی آغازِ یتیمی ہے دل غم سے نہ پھٹ جائے
۷ بھولی ہے کہاں زینب وہ چومنا شانوں کو جب شام میں دیکھے گی رسی کے نشانوں کو یاد آئے گی بابا کی اُس وقت بہت ہائے
۸ ذیشان و رضا ہائے نوحہ تھا یہ فضہ کا اب بیٹیوں کے سر پہ سایہ نہیں بابا کا مشکل ہے یتیموں پر یہ رات گزر جائے

Maa Bhi Na Ho

Ehsaas-e-yatimi hai viraaṅ hai Ali ka ghar Bin baap ke ye pehli raat aayi hai bachchoṅ par Roti thiṅ kahiṅ Zainab Shabbir kahiṅ Shabbar Fizza ne jo dekha to kehne lagiṅ ro ro kar Maa bhi na ho dunya meiṅ aur baap bhi mar jaaye Allah kisi par bhi ye waqt nahiṅ aaye
1 Ye raat khuda jaane kis haal meiṅ guzregi Bachchoṅ ki nigaahoṅ meiṅ tasvir hai Baba ki Baba se juda ho kar kis tarah jiya jaaye
2 Mayyat jahaaṅ rakhi thi Zainab wahiṅ baithi hai Abbas ke chehre ko ab dekh ke roti hai Kehti hai koi mere Baba ko bula laaye
3 Haathoṅ meiṅ Ruqayya ke Baba ka musalla hai Kulsum ke haathoṅ meiṅ Baba ka amaama hai Baba nahiṅ aayeṅge ab kaun ye batlaaye
4 Maa yaad jo aaye to ho aate the turbat par Rukhsat kiya Baba ko Hasnain ne ye keh kar Milne kahaaṅ jaayeṅge jab baap ki yaad aaye
5 Ab mujh ko rulaata hai shahzaadi ka wo kehna Fizza mere bachchoṅ se tum dur nahiṅ rehna Maa baap ke bin jina mushkil hai bahut haaye
6 Is aalam-e-ghurbat meiṅ maa zinda agar hoti Bin baap ke bachchoṅ ko sine se laga leti Aaghaaz-e-yatimi hai dil gham se na phat jaaye
7 Bhuli hai kahaaṅ Zainab wo chumna shaanoṅ ko Jab Shaam meiṅ dekhegi rassi ke nishaanoṅ ko Yaad aayegi Baba ki us waqt bahut haaye
8 Zishan o Raza haaye nauha tha ye Fizza ka Ab betiyoṅ ke sar pe saaya nahiṅ Baba ka Mushkil hai yatimoṅ par ye raat guzar jaaye