Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہلال ماہ غم ہلال ماہ عزا

Kya Ye Wo Chaand

Add to set
Show

ہلال ماہ غم ہلال ماہ عزا

ہلال ماہ غم ہلال ماہ عزا
گھر لٹ گیا بتول کا لایا ہے جو خبر کیا یہ وہ چاند ہے جس چاند میں ہوئے ہیں بہتر لہو میں تر کیا یہ وہ چاند ہے
۱ جس چاند میں رسول بھی روتے ہیں زار زار ہوتی ہے جس کو دیکھ کے زہرا بھی بیقرار کرتا ہے جو حسن کے کلیجے کو تار تار صدمے سے جس میں آج بھی روتی ہے ذوالفقار آتے ہے جس میں آج بھی پیاسوں کے سر نظر
۲ جس چاند میں بتول کا گلشن اجڑ گیا جس چاند میں رسول کے پیاروں پہ تھی جفا جس چاند میں علی کے دلاروں کا سر کٹا جس چاند میں لہو سے ہوئی لال کربلا جس میں لگا دیا گیا پہرہ فرات پر
۳ جس چاند میں حسین سے اکبر جدا ہوا سینے پہ نوجواں کے برچھی کا پھل لگا توڑا گیا ضعیف کا پردیس میں عصا چھینا گیا حسین سے جینے کا آسرا اکبر کا جس میں باپ کے ہاتھوں پہ تھا جگر
۴ عباس کا حسین نے پایا ہے جس میں غم جس میں کمر ہوئی ہے شاہ کربلا کی خم جس چاند میں دلیر کے شانے ہوئے قلم ٹھنڈا ہوا فرات پہ جس چاند میں علم جس میں نہر پہ ڈوب گیا ہاشمی قمر
۵ ننھے گلے پہ تیر لگا جس ہلال میں ایک شیر خوار نہر ہوا جس ہلال میں چہرے پہ شہ نے خون ملا جس ہلال میں اصغر کو روکے دفن کیا جس ہلال میں کہ جس میں بے زباں کی لحد آنسوؤں سے تر
۶ زخموں سے چور چور تھے جس میں شہ ہدا سینے پہ جس ہلال میں شمر لعیں چڑھا کاٹا گیا حسین کا جس چاند میں گلا جس میں حسین قتل ہوئے رن میں بے خطا مادر تھی جس میں لال کے لاشے پہ نوحہ گر
۷ ہوتی تھی جس ہلال میں دن رات سختیاں تڑپی ہے جس ہلال میں حیدر کی بیٹیاں اجڑی ہے جس ہلال میں ماؤں کی گودیاں دکھتا ہے جس ہلال میں خیموں کا وہ دھواں پہرے پہ جس میں زینب مضطر تھی رات بھر
۸ لکھتا ہے جب کوئی بھی سہانی یہ داستاں ہوتا ہے جب علی یہ بہتر کا غم بیاں ہلتی ہے یہ زمیں لرزتا ہے آسماں دیتے ہیں غیب سے یہ صدا صاحب الزماں روتا ہوں جس میں پیٹ کے سر میں ہر ایک پہر ہاں یہ وہ چاند ہے ہاں یہ وہ چاند ہے

Kya Ye Wo Chaand

Hilaal-e-maah-e-gham hilaal-e-maah-e-aza
Ghar lut gaya Batul ka laaya hai jo khabar Kya ye wo chaand hai Jis chaand meiṅ hue haiṅ bahattar lahu meiṅ tar Kya ye wo chaand hai
1 Jis chaand meiṅ Rasul bhi rote haiṅ zaar zaar Hoti hai jis ko dekh ke Zahra bhi beqaraar Karta hai jo Hasan ke kaleje ko taar taar Sadme se jis meiṅ aaj bhi roti hai Zulfiqaar Aate hai jis meiṅ aaj bhi pyaasoṅ ke sar nazar
2 Jis chaand meiṅ Batul ka gulshan ujar gaya Jis chaand meiṅ Rasul ke pyaaroṅ pe thi jafa Jis chaand meiṅ Ali ke dulaaroṅ ka sar kata Jis chaand meiṅ lahu se hui laal Karbala Jis meiṅ laga diya gaya pehra Furaat par
3 Jis chaand meiṅ Husain se Akbar juda hua Sine pe naujawaaṅ ke barchhi ka phal laga Tora gaya zaif ka pardes meiṅ asa Chhina gaya Husain se jine ka aasra Akbar ka jis meiṅ baap ke haathoṅ pe tha jigar
4 Abbas ka Husain ne paaya hai jis meiṅ gham Jis meiṅ kamar hui hai shaah-e-Karbala ki kham Jis chaand meiṅ diler ke shaane hue qalam Thanda hua Furaat pe jis chaand meiṅ alam Jis meiṅ nehr pe dub gaya Haashmi qamar
5 Nanhe gale pe tir laga jis hilaal meiṅ Ek shirkhwaar nehr hua jis hilaal meiṅ Chehre pe Shah ne khun mala jis hilaal meiṅ Asghar ko roke dafn kiya jis hilaal meiṅ Keh jis meiṅ bezabaaṅ ki lahad aansuoṅ se tar
6 Zakhmoṅ se chur chur the jis meiṅ Shah-e-Huda Sine pe jis hilaal meiṅ Shimr-e-laiṅ charha Kaata gaya Husain ka jis chaand meiṅ gala Jis meiṅ Husain qatl hue ran meiṅ bekhata Maadar thi jis meiṅ laal ke laashe pe nauhagar
7 Hoti thi jis hilaal meiṅ din raat sakhtiyaaṅ Tarpi hai jis hilaal meiṅ Haidar ki betiyaaṅ Ujri hai jis hilaal meiṅ maa'oṅ ki godiyaaṅ Dikhta hai jis hilaal meiṅ khaimoṅ ka wo dhuaaṅ Pehre pe jis meiṅ Zainab-e-muztar thi raat bhar
8 Likhta hai jab koi bhi Sahaani ye daastaaṅ Hota hai jab Ali ye bahattar ka gham bayaaṅ Hilti hai ye zamiṅ larazta hai aasmaaṅ Dete haiṅ ghaib se ye sada Saahib-az-Zamaaṅ Rota huṅ jis meiṅ pit ke sar maiṅ har ek pehr Haaṅ ye wo chaand hai haaṅ ye wo chaand hai