کیجیے اس کو قبول آقا درِ عباس پر
Kijiye Is Ko Qubul Aaqa Dar-e-Abbas Par
Show
کیجیے اس کو قبول آقا درِ عباس پر
کیجیے اس کو قبول آقا درِ عباس پر
کر رہا ہوں میں جو سجدہ درِ عباس پر
۱
کیوں نہ آ جائے بھلا کعبہ درِ عباس پر
جشن ہے غازی کے بابا کا درِ عباس پر
دیکھ کر مجھ کو سرِ منبر یہاں بولے ملک
آ گیا عباس کا بندہ درِ عباس پر
۲
سب تو کعبے کی طرف جاتے ہیں حج کے واسطے
حج ادا کرتا ہے خود کعبہ درِ عباس پر
کیسے ہوں گے خلد کے راستوں سے واقف آپ سب
آنا جانا اگر نہیں ہو گا درِ عباس پر
۳
جیسے رکتے تھے محمد دیکھ کر زہرا کا در
ہر نبی ویسے ہی ہے رکتا درِ عباس پر
خوش غدیرِ خم میں تھے سلمان و ابوذر جس طرح
ایسے خوش ہے ہر علی والا درِ عباس پر
۴
اس کو خود عباس دیں گے اذنِ دیدارِ نجف
آج جو نعرہ لگائے گا درِ عباس پر
جشن شوہر کی ولایت کا منانے کے لیے
آئی ہیں فردوس سے زہرا درِ عباس پر
۵
کیسے آ جاتی درِ عباس پر لینے مجھے
موت کو بھی موت کا ڈر تھا درِ عباس پر
وہ درِ عباس تھا یاں یہ زمینِ طور ہے
سوچ میں ہیں حضرتِ موسیٰ درِ عباس پر
۶
مجھ سے اک درویش نے یہ خواب میں آ کر کہا
زندہ رہنا ہے تو جا مر جا درِ عباس پر
تیرے فتووں سے بھلا میں رکنے والا ہوں کہاں
دیکھ میرا سر ہے اے ملا درِ عباس پر
۷
فخر سے سر عرش سے ٹکرانے لگتا ہے میرا
جب بھی جھکتا ہے میرا بچہ درِ عباس پر
ربِ کعبہ کی قسم لے آؤ تو ہو جائے گا
موت کا بیمار بھی اچھا درِ عباس پر
Kijiye Is Ko Qubul Aaqa Dar-e-Abbas Par
Kijiye is ko qubul aaqa dar-e-Abbas par
Kar raha huṅ maiṅ jo sajda dar-e-Abbas par
1
Kiuṅ na aa jaaye bhala Kaaba dar-e-Abbas par
Jashn hai Ghaazi ke baaba ka dar-e-Abbas par
Dekh kar mujh ko sar-e-mimbar yahaaṅ bole malak
Aa gaya Abbas ka banda dar-e-Abbas par
2
Sab to Kaabe ki taraf jaate haiṅ hajj ke waaste
Hajj ada karta hai khud Kaaba dar-e-Abbas par
Kaise hoṅ ge khuld ke raastoṅ se waaqif aap sab
Aana jaana agar nahiṅ ho ga dar-e-Abbas par
3
Jaise rukte the Muhammad dekh kar Zahra ka dar
Har nabi waise hi hai rukta dar-e-Abbas par
Khush Ghadir-e-Khum meiṅ the Salman o Abuzar jis tarah
Aise khush hai har Ali waala dar-e-Abbas par
4
Us ko khud Abbas deṅ ge izn-e-didaar-e-Najaf
Aaj jo naara lagaaye ga dar-e-Abbas par
Jashn shauhar ki wilaayat ka manaane ke liye
Aayi haiṅ Firdaus se Zahra dar-e-Abbas par
5
Kaise aa jaati dar-e-Abbas par lene mujhe
Maut ko bhi maut ka dar tha dar-e-Abbas par
Wo dar-e-Abbas tha yaaṅ ye zamin-e-Tur hai
Soch meiṅ haiṅ Hazrat-e-Musa dar-e-Abbas par
6
Mujh se ik darwesh ne ye khwaab meiṅ aa kar kaha
Zinda rehna hai to ja mar ja dar-e-Abbas par
Tere fatwoṅ se bhala maiṅ rukne waala huṅ kahaaṅ
Dekh mera sar hai ae mulla dar-e-Abbas par
7
Fakhr se sar arsh se takraane lagta hai mera
Jab bhi jhukta hai mera bachcha dar-e-Abbas par
Rab-e-Kaaba ki qasam le aao to ho jaaye ga
Maut ka bimaar bhi achchha dar-e-Abbas par