خموش ہیں علقمہ کی موجیں
Khamosh Hai Alqama
Show
خموش ہیں علقمہ کی موجیں
خموش ہیں علقمہ کی موجیں
فضا میں بھی موت کا سماں ہے
ردائے زینب تیرا محافظ
اکھڑتی سانسوں کے درمیاں ہے
۱
ہواؤں کے رخ بدل رہے ہیں
خیام دریا سے ہٹ رہے ہیں
کسی کے تیور بتا رہے ہیں
کہ ٹوٹ پڑنے کو آسماں ہے
۲
ستم کے پیکاں تو کھینچ لیں گے
حسین چشم جری سے لیکن
خلش کا اک تیر اور بھی ہے
جو قلب عباس میں نہاں ہے
۳
سکینہ بیبی کی تشنگی کا
جگر پہ اب تک ہے داغ باقی
وہی وہی مشک بھی ملے گی
علم جری کا جہاں جہاں ہے
۴
بہ چشم پر نم بہ وقت رحلت
علی نے جن بازوؤں کو چوما
کہیں وہ بازو قلم ہوئے ہیں
کہیں پہ ان میں ریسماں ہے
۵
لہو لہو پیکر تمنا
قریب مشکیزہ سکینہ
گرا ہے رہوار سے وہ ایسے
کہیں پہ بازو کہیں نشاں ہیں
۶
لگی ہے خیموں میں آگ ہر سو
ردائیں بیووں کی چھن رہی ہیں
اداسیاں پوچھتی ہے شاہد
وہ پاسبان حرم کہاں ہے
Khamosh Hai Alqama
Khamosh haiṅ Alqama ki maujeṅ
Faza meiṅ bhi maut ka samaaṅ hai
Rida-e-Zainab tera muhaafiz
Ukharti saansoṅ ke darmiyaaṅ hai
1
Hawaaoṅ ke rukh badal rahe haiṅ
Khiyaam darya se hat rahe haiṅ
Kisi ke tewar bata rahe haiṅ
Ke tut parne ko aasmaaṅ hai
2
Sitam ke paikaaṅ to kheṅch leṅ ge
Husain chashm-e-Jari se lekin
Khalish ka ik tir aur bhi hai
Jo qalb-e-Abbas meiṅ nehaaṅ hai
3
Sakina Bibi ki tashnagi ka
Jigar pe ab tak hai daagh baaqi
Wahiṅ wahiṅ mashk bhi mile gi
Alam Jari ka jahaaṅ jahaaṅ hai
4
Ba chashm-e-purnam ba waqt-e-rehlat
Ali ne jin baazuoṅ ko chuma
Kahiṅ wo baazu qalam hue haiṅ
Kahiṅ pe in meiṅ rismaaṅ hai
5
Lahu lahu paikar-e-tamanna
Qarib mashkiza-e-Sakina
Gira hai rahwaar se wo aise
Kahiṅ pe baazu kahiṅ nishaaṅ haiṅ
6
Lagi hai khaimoṅ meiṅ aag har su
Ridaaeṅ bewaoṅ ki chhin rahi haiṅ
Udaasiyaaṅ puchhti hai Shahid
Wo paasbaan-e-haram kahaaṅ hai