خبر لامکان کے مکان سے اڑی ہے
khabar la makan ke makan

- Language
- Urdu
Roman Urdu
Khabar la-makaan ke makaan se uri hai
Ali hai Ali hai Ali hai Ali hai
Yeh bint-e Asad jis ko thame khari hain
Ali hai Ali hai Ali hai Ali hai
Tahayyur hai yeh kya hua aur kyun kar
Bana kis ki khatir yeh deewar mein dar
Yeh deewar shaq kis ki khatir hui hai
Hai sadiyon se is ghar ke chakkar lagaye
Na dekha kisi ko ke andar se aaye
Yeh pehli dafa ghar se nikla koi hai
Barhe hain paharon pe jaan ko bachaye
Nabuwwat ko maidan mein aa kar bachaye
Tabhi la fatah ki sada Rab ne di hai
Main aison se kaise uthoon ga Khudaya
Use bhej de jis ki khatir banaya
Uthoon us ke haathon pe hasrat bari hai
Ilahi bhagoron se ukta gaya hoon
Main gir gir ke maidan mein sharma gaya hoon
Kahan hai jo ho to fatah lazmi hai
Na daulat na sarwat ki khatir hai mara
Zar-e tegh khanjar na loota tumhara
Tumhein jis ne mara yaqeenan Ali hai
Yeh bistar pe apne jo sulwa rahe the
Nabi goya hijrat mein batla rahe the
Na hoon main to meri jagah bas yahi hai
Payambar ne paigham paya Khuda se
Nikah Murtaza ka hua Fatima se
Nikah-khwan jis ka Khuda-e Jali hai
Yeh Asif Khuda ne kaha mere pyare
Yeh chaha ke dil mein sukoon ho tumhare
Sada jis ki bahr-e takallum chuni hai