کہتی ہیں قد عماریاں تقریر کے بغیر
Kehti Hai Khud
Show
کہتی ہیں قد عماریاں تقریر کے بغیر
کہتی ہیں قد عماریاں تقریر کے بغیر
زینب وطن میں آئی ہے شبیر کے بغیر
۱
اصغر کے انتظار میں صغرا کو کیا خبر
ماں کربلا سے آئی ہے بے شیر کے بغیر
۲
ام البنین سنتی ہے حال اپنے لال کا
کیونکر لڑا لعینوں سے شمشیر کے بغیر
۳
نانا ہماری پیٹ پہ دروں کے ہیں نشاں
خطرے کتاب دور ہے تحریر کے بغیر
۴
نانا اٹھا جنازہ میری ماں کا رات میں
بلوے میں تھی میں چادر و توقیر کے بغیر
۵
عابد تھا اس طرح تھی مسلسل یہ بیڑیاں
اب پاؤں تھر تھراتے ہیں زنجیر کے بغیر
Kehti Hai Khud
Kehti hai khud amaariyaaṅ taqrir ke baghair
Zainab watan meiṅ aayi hai Shabbir ke baghair
1
Asghar ke intezaar meiṅ Sughra ko kya khabar
Maaṅ Karbala se aayi hai beshir ke baghair
2
Ummul Banin sunti hai haal apne laal ka
Kiunkar lara lainoṅ se shamshir ke baghair
3
Nana hamaari pith pe durroṅ ke ye nishaaṅ
Khatre kitaab-e-daur hai tahrir ke baghair
4
Nana utha janaaza meri maaṅ ka raat meiṅ
Balwe meiṅ thi maiṅ chaadar o tauqir ke baghair
5
Abid tha is tarah thi musalsal ye beriyaaṅ
Ab paaoṅ thar tharaate haiṅ zanjir ke baghair