یا باب حوائج مولا
Kaazim Ka Janaaza Hai
Show
یا باب حوائج مولا
یا باب حوائج مولا
مزدوروں کے کاندھوں پر کاظم کا جنازہ ہے
بغداد کے قیدی پر زندان بھی روتا ہے
اس درد نے تربت میں سجاد کو تڑپایا
زنداں سے نکل کر بھی آزاد نہ ہو پایا
ہے پہلا جنازہ جو زنجیروں میں جکڑا ہے
۱
زنجیروں کو تکتی ہے شانوں کو ہلاتی ہے
میت کو کبھی اپنی گودی میں اٹھاتی ہے
اک ہاتھ ہے پہلو پر لگتا ہے یہ زہرا ہے
۲
ذرے بھی لہو رو کر روداد سناتے ہیں
قدموں کے نشاں اس کے زنداں میں بتاتے ہیں
یہ نزع کے عالم میں کس طرح سے تڑپا ہے
۳
جو لوگ گزرتے ہیں آپس میں یہ کہتے ہیں
گھر والے تو یثرب میں اس قیدی کے رہتے ہیں
پھر اس کے جنازے پر یہ کون ضعیفہ ہے
۴
کہتی ہے کوئی بیبی ہے وقت مصیبت کا
اب جلد مدینے سے آجا اے رضا آجا
بے گور و کفن کب سے بیٹا تیرا بابا ہے
۵
ہر روز ہی جاتی ہے وہ تربتِ زہرا پر
جا کر وہاں کہتی ہے معصومۂ قم رو کر
دادی میرے بابا کو کیا آپ نے دیکھا ہے
۶
شبیر کی غربت کا نوحہ یہ سناتے ہیں
سوکھے ہوئے لب اس کے امت کو بتاتے ہیں
اس نے بھی دمِ آخر پانی نہیں پایا ہے
۷
غربت ہے تکلم یہ شبیر کی غربت سی
اک بیٹی ہے یثرب میں صغرا کی طرح اس کی
اس واسطے میت کا رخ سوے مدینہ ہے
Kaazim Ka Janaaza Hai
Ya Baab-e-Hawaaij Maula
Mazduroṅ ke kaandhoṅ par Kaazim ka janaaza hai
Baghdad ke qaidi par zindaan bhi rota hai
Is dard ne turbat meiṅ Sajjad ko tarpaaya
Zindaaṅ se nikal kar bhi aazaad na ho paaya
Hai pehla janaaza jo zanjiroṅ meiṅ jakra hai
1
Zanjiroṅ ko takti hai shaanoṅ ko hilaati hai
Mayyat ko kabhi apni godi meiṅ uthaati hai
Ik haath hai pehlu par lagta hai ye Zahra hai
2
Zarre bhi lahu ro kar rudaad sunaate haiṅ
Qadmoṅ ke nishaaṅ is ke zindaaṅ meiṅ bataate haiṅ
Ye naza ke aalam meiṅ kis tarah se tarpa hai
3
Jo log guzarte haiṅ aapas meiṅ ye kehte haiṅ
Ghar waale to Yasrab meiṅ is qaidi ke rehte haiṅ
Phir is ke janaaze par ye kaun zaifa hai
4
Kehti hai koi Bibi hai waqt musibat ka
Ab jald Madine se aaja ae Raza aaja
Begor o kafan kab se beta tera baaba hai
5
Har roz hi jaati hai wo turbat-e-Zahra par
Ja kar wahaaṅ kehti hai Maasuma-e-Qum ro kar
Daadi mere baaba ko kya aap ne dekha hai
6
Shabbir ki ghurbat ka nauha ye sunaate haiṅ
Sukhe hue lab is ke ummat ko bataate haiṅ
Is ne bhi dam-e-aakhir paani nahiṅ paaya hai
7
Ghurbat hai Takallum ye Shabbir ki ghurbat si
Ik beti hai Yasrab meiṅ Sughra ki tarah is ki
Is waaste mayyat ka rukh su-e-Madina hai