گرتے ہوئے ناقے سے زمین پر
Kaun Sambhaale
Show
گرتے ہوئے ناقے سے زمین پر
گرتے ہوئے ناقے سے زمین پر
کون سنبھالے زینب کو
ساتھ نہیں ہے کوئی برادر
کون سنبھالے زینب کو
۱
اٹھارہ بھائی کی بہن پہ
کیسی مصیبت آئی ہے
ہاتھ بندھے ہیں پشت کے بل
اور گرد بدن پر چھائی ہے
سر پہ نہیں ہے مقنہ و چادر
کون سنبھالے زینب کو
۲
عون و محمد قاسم اور
عباس دلاور کوئی نہیں
کون مدد کو آئے گا آخر
مونس و یاور کوئی نہیں
عابد ہے پر وہ بھی ہے لاغر
کون سنبھالے زینب کو
۳
کوئی اگر گرتا ہے تو وہ
ہاتھوں کا سہارا لیتا ہے
لیکن زینب کے گرنے کا
حال بہت رنجیدہ ہے
چہرے کے بل گرتی ہے مضطر
کون سنبھالے زینب کو
۴
سب کو بچایا خود کو فقط
تکلیف میں ڈھالا زینب نے
کربوبلا سے شام تلک
ہر ایک کو سنبھالا زینب نے
لیکن اب ہے شام کا منظر
کون سنبھالے زینب کو
۵
جب یہ چلی تھی اپنے وطن سے
ثانیِ حیدر ساتھ میں تھے
ان کی عماری سب سے حسیں تھی
سارے برادر ساتھ میں تھے
اب ہے مگر تنہا یہ یہاں پر
کون سنبھالے زینب کو
۶
دیکھ رہی ہیں اس کی نگاہیں
بھیڑ میں اپنا کوئی نہیں
شام کے لوگوں کا مجمع ہے
اہلِ مدینہ کوئی نہیں
چاروں طرف ہے ظلم کا لشکر
کون سنبھالے زینب کو
۷
شام کے ظالم مار رہے تھے
زینب کو جب پتھر سے
دیکھ کے نوکِ نیزہ پر
عباس دلاور کے سر سے
کہنے لگی فضہ رو رو کر
کون سنبھالے زینب کو
۸
نامحرم ہے لوگ سبھی
اور غیروں کی آبادی ہے
شام کے بازاروں میں کھلے سر
کوفے کی شاہزادی ہے
دکھیا پر ہنستے ہے ستمگر
کون سنبھالے زینب کو
۹
دیکھ کے زینب کو جس غم میں
سب کو خیال آیا ہو گا
دل میں کمیل و عامر یہ
لوگوں کے سوال آیا ہو گا
نوکِ سناں پر سر ہے بہتر
کون سنبھالے زینب کو
Kaun Sambhaale
Girte huwe naaqe se zamin par
Kaun sambhaale Zainab ko
Saath nahiṅ hai koi baraadar
Kaun sambhaale Zainab ko
1
Athaara bhaai ki behen pe
Kaisi musibat aayi hai
Haath bandhe haiṅ pusht ke bal
Aur gard badan par chhaayi hai
Sar pe nahiṅ hai maqna o chaadar
Kaun sambhaale Zainab ko
2
Aun o Muhammad Qaasim aur
Abbas-e-Dilaawar koi nahiṅ
Kaun madad ko aayega aakhir
Monis o yaawar koi nahiṅ
Aabid hai par wo bhi hai laaghar
Kaun sambhaale Zainab ko
3
Koi agar girta hai to wo
Haathoṅ ka sahaara leta hai
Lekin Zainab ke girne ka
Haal bahut ranjida hai
Chehre ke bal girti hai muztar
Kaun sambhaale Zainab ko
4
Sab ko bachaaya khud ko faqat
Taklif meiṅ dhaala Zainab ne
Karbobala se Shaam talak
Har ek ko sambhaala Zainab ne
Lekin ab hai Shaam ka manzar
Kaun sambhaale Zainab ko
5
Jab ye chali thi apne watan se
Saani-e-Haidar saath meiṅ the
Inki amaari sab se hasiṅ thi
Saare baraadar saath meiṅ the
Ab hai magar tanha ye yahaaṅ par
Kaun sambhaale Zainab ko
6
Dekh rahi haiṅ uski nigaaheiṅ
Bhir meiṅ apna koi nahiṅ
Shaam ke logoṅ ka majma hai
Ahl-e-Madina koi nahiṅ
Chaaroṅ taraf hai zulm ka lashkar
Kaun sambhaale Zainab ko
7
Shaam ke zaalim maar rahe the
Zainab ko jab patthar se
Dekh ke nok-e-naiza par
Abbas-e-Dilaawar ke sar se
Kehne lagi Fizza ro ro kar
Kaun sambhaale Zainab ko
8
Naamahram hai log sabhi
Aur ghairoṅ ki aabaadi hai
Shaam ke baazaaroṅ meiṅ khule sar
Kufe ki shehzaadi hai
Dukhiya par haṅste hai sitamgar
Kaun sambhaale Zainab ko
9
Dekh ke Zainab ko is gham meiṅ
Sab ko khayaal aaya hoga
Dil meiṅ Kumail o Aamir ye
Logoṅ ke sawaal aaya hoga
Nok-e-sinaaṅ par sar hai bahattar
Kaun sambhaale Zainab ko