Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اے میرے لال حسین

Karti Hai Bain

Add to set
Show

اے میرے لال حسین

اے میرے لال حسین
کرتی ہے بین زہرا آنسو بہا بہا کر بچے کو میرے مارا ہے رن میں رلا رلا کر
اللّٰہ رحم فرما اک بے زباں کی میت اعدا نکالتے ہیں نیزہ چبھا چبھا کر
۱ بولی سکینہ عمو یہ حال ہے ہمارا پیتے ہیں پانی اعدا ہم کو دکھا دکھا کر
۲ مارا ہے اس کو پیاسا جنگل میں ظالموں نے پالا تھا جس کو ماں نے چکی چلا چلا کر
۳ بچوں کو اپنے مائیں سرور پہ وارتی ہے مقتل کو بھیجتی ہے دولہا بنا بنا کر
۴ ہے جن کے گھر سے پردہ ان کو نبی کے دشمن در در پھرا رہے ہیں قیدی بنا بنا کر
۵ اک غمزدہ تصور میں اپنے لاڈلے کو لوری سنا رہی ہے جھولا جھلا جھلا کر
۶ اے دائم اور یزداں سرور کے قاتلوں نے دکھیوں کو مار ڈالا پیدل چلا چلا کر

Karti Hai Bain

Ae mere laal Husain
Karti hai bain Zehra aaṅsu baha baha kar Bachche ko mere maara hai ran meiṅ rula rula kar
Allah rahm farma ik bezabaaṅ ki mayyat Aadaa nikaalte haiṅ neza chubha chubha kar
1 Boli Sakina ammu ye haal hai hamaara Pite haiṅ paani aadaa hum ko dikha dikha kar
2 Maara hai us ko pyaasa jangal meiṅ zaalimoṅ ne Paala tha jis ko maaṅ ne chakki chala chala kar
3 Bachchoṅ ko apne maaeṅ Sarwar pe waarti hai Maqtal ko bhejti hai dulha bana bana kar
4 Hai jin ke ghar se parda un ko Nabi ke dushman Dar dar phira rahe haiṅ qaidi bana bana kar
5 Ik ghamzada tasawwur meiṅ apne laadle ko Lori suna rahi hai jhula jhula jhula kar
6 Ae Daaim aur Yazdaaṅ Sarwar ke qaatiloṅ ne Dukhiyoṅ ko maar daala paidal chala chala kar