Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میں عزادار ہوں دولت سے مجھے پیار نہیں

Kaarobaar Nahiṅ

Add to set
Show

میں عزادار ہوں دولت سے مجھے پیار نہیں

میں عزادار ہوں دولت سے مجھے پیار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۱ وہ شخص ذاکرِ شبیر ہو نہیں سکتا درِ زہرا کا جو فقیر ہو نہیں سکتا جس سے زر سے محبت عزا سے پیار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۲ غمِ حسین جو میزانِ زر میں تولتے ہیں وہ اپنے ظرف و لہو کی زباں بولتے ہیں انہیں عطائے امامت پہ اعتبار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۳ جو ذکرِ آلِ محمد میں دام رکھتے ہیں نظر میں کب وہ عزائے امام رکھتے ہیں وہ زخم دیتے ہیں شبیر کو قرار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۴ جو دیکھتے ہیں محرم کو عید کی صورت انہیں پسند ہے گویا یزید کی صورت انہیں امام کی آمد کا انتظار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۵ وہ فرشِ غم ہو کہ محفل علی کی مدحت کی جو بات کرتے ہیں ہر بزم میں سیاست کی وہ اپنے نام کے طالب ہیں پرسہ دار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۶ وہ لوگ کون تھے ہم جن کو آج روتے ہیں یہ کس کے تذکرہ فرشِ عزا پہ روتے ہیں وہ لوگ پشتِ محمد کے کیا سوار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں
۷ غمِ حسین تو درویش کی عبادت ہے جہانِ درد میں ریحان یہ وہ دولت ہے قرار دیتا ہے کرتا یہ بے قرار نہیں غمِ حسین عبادت ہے کاروبار نہیں

Kaarobaar Nahiṅ

Maiṅ azaadaar huṅ daulat se mujhe pyaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
1 Woh shakhs Zaakir-e-Shabbir ho nahiṅ sakta Dar-e-Zahra ka jo faqir ho nahiṅ sakta Jis se zar se mohabbat aza se pyaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
2 Gham-e-Husain jo mizaan-e-zar meiṅ tolte haiṅ Woh apne zarf o lahu ki zubaaṅ bolte haiṅ Unheṅ ataa-e-imaamat pe aetbaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
3 Jo zikr-e-Aal-e-Muhammad meiṅ daam rakhte haiṅ Nazar meiṅ kab woh azaa-e-Imaam rakhte haiṅ Woh zakhm dete haiṅ Shabbir ko qaraar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
4 Jo dekhte haiṅ Muharram ko Eid ki surat Unheṅ pasand hai goya Yazid ki surat Unheṅ Imaam ki aamad ka intizaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
5 Woh farsh-e-gham ho ke mehfil Ali ki midhat ki Jo baat karte haiṅ har bazm meiṅ siyaasat ki Woh apne naam ke taalib haiṅ pursadaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
6 Woh log kaun the ham jin ko aaj rote haiṅ Yeh kis ke tazkira farsh-e-aza pe rote haiṅ Woh log pusht-e-Muhammad ke kya sawaar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ
7 Gham-e-Husain to darwesh ki ibaadat hai Jahaan-e-dard meiṅ Rehaan yeh woh daulat hai Qaraar deta hai karta yeh beqaraar nahiṅ Gham-e-Husain ibaadat hai kaarobaar nahiṅ