Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کمسن گئے ضعیف گئے نوجواں گئے

Kamsin Gaye Zaif

Add to set
Show

کمسن گئے ضعیف گئے نوجواں گئے

کمسن گئے ضعیف گئے نوجواں گئے منزل بہت کٹھن تھی مگر ناتواں گئے
۱ عباس رن میں آتے ہیں اب خیریت نہیں محسوس ہو رہا ہے زمیں آسماں گئے
۲ دینے گواہی اشہد ان لا الہ کی اسلام پر جو وقت پڑا بے زباں گئے
۳ اصغر کو صغرا کرتی ہے شاید وطن میں یاد خیمے سے رن میں لیتے ہوئے ہچکیاں گئے
۴ وقتِ جہاد یہ بھی تھا احساس شاہ کو حملوں کی داد کون دے سب قدرداں گئے
۵ اعلانِ فتح کرتے ہوئے سبطِ مصطفیٰ سر کٹ گیا تو بر سرِ نوکِ سِناں گئے
۶ سجاد کربلا سے چلے تھے بخار میں تا شام پھر بھی پہنے ہوئے بیڑیاں گئے
۷ انور غمِ حسین کے صدقے میں اب تلک عزت ہوئی نصیب ہمیں ہم جہاں گئے

Kamsin Gaye Zaif

Kamsin gaye zaif gaye naujawaaṅ gaye Manzil bahut kathin thi magar naatawaaṅ gaye
1 Abbaas ran meiṅ aate haiṅ ab khairiyat nahiṅ Mahsus ho raha hai zamiṅ aasmaaṅ gaye
2 Dene gawaahi ashhadu an la ilaah ki Islaam par jo waqt para bezabaaṅ gaye
3 Asghar ko Sughra karti hai shaayad watan meiṅ yaad Khaime se ran meiṅ lete hue hichkiyaaṅ gaye
4 Waqt-e-jihaad ye bhi tha ehsaas Shaah ko Hamloṅ ki daad kaun de sab qadrdaaṅ gaye
5 Ailaan-e-fath karte hue Sibt-e-Mustafa Sar kat gaya to bar sar-e-nok-e-sinaaṅ gaye
6 Sajjaad Karbala se chale the bukhaar meiṅ Taa Shaam phir bhi pehne hue beriyaaṅ gaye
7 Anwar gham-e-Husain ke sadqe meiṅ ab talak Izzat hui nasib hameṅ ham jahaaṅ gaye