جو تیرے دل میں ولائے ابو تراب نہیں
Jo Tere Dil Meiṅ Wilaaye Abu Turaab Nahiṅ
Show
جو تیرے دل میں ولائے ابو تراب نہیں
جو تیرے دل میں ولائے ابو تراب نہیں
مرے تو کعبے میں پھر بھی کوئی ثواب نہیں
۱
علی ولی کے فضائل کی حد کہاں تک ہے
یہ وہ سوال ہے جس کا کوئی جواب نہیں
۲
نبی کے بعد بلا فصل مرتضیٰ کے سوا
ہم کسی اور کو مانے نہیں جناب نہیں
۳
پاکیزہ شجروں کی پہچان ہے ولائے علی
علی کا پیار بتائے نسل خراب نہیں
۴
علی کو جس نے بھی چھوڑا جہاں کہیں چھوڑا
میری نظر میں وہ بندہ عزت مآب نہیں
۵
بڑے بڑوں میں نبی نے علی کو مرد کہا
نبی نے ایسا کسی کو دیا خطاب نہیں
۶
حبیب نے یہ بتایا زمانے والوں کو
علی ہو دل میں تو ڈھلتا کبھی شباب نہیں
۷
جو ایک روٹی کے بدلے قطار دیتا ہے
میرے علی سا جہاں میں کوئی نواب نہیں
۸
علی ولی کی جو الفت نبھا کے مرتا ہے
تو وعدہ ہے یہ خدا کا اسے عذاب نہیں
۹
تبرّا گن کے کبھی بھی نہیں کیا ایسے
میں اس عمل کا تو رکھتا کبھی حساب نہیں
Jo Tere Dil Meiṅ Wilaaye Abu Turaab Nahiṅ
Jo tere dil meiṅ wilaaye Abu Turaab nahiṅ
Mare to Kaabe meiṅ phir bhi koi sawaab nahiṅ
1
Ali wali ke fazaail ki had kahaaṅ tak hai
Yeh woh sawaal hai jis ka koi jawaab nahiṅ
2
Nabi ke baad bila fasl Murtaza ke siwa
Ham kisi aur ko maane nahiṅ janaab nahiṅ
3
Paakiza shajroṅ ki pehchaan hai wilaaye Ali
Ali ka pyaar bataaye nasl kharaab nahiṅ
4
Ali ko jis ne bhi chhora jahaaṅ kahiṅ chhora
Meri nazar meiṅ woh banda izzat maab nahiṅ
5
Bare baroṅ meiṅ Nabi ne Ali ko mard kaha
Nabi ne aisa kisi ko diya khitaab nahiṅ
6
Habib ne yeh bataaya zamaane waaloṅ ko
Ali ho dil meiṅ to dhalta kabhi shabaab nahiṅ
7
Jo aik roti ke badle qataar deta hai
Mere Ali sa jahaaṅ meiṅ koi nawaab nahiṅ
8
Ali wali ki jo ulfat nibha ke marta hai
To waada hai yeh Khuda ka use azaab nahiṅ
9
Tabarra gin ke kabhi bhi nahiṅ kiya aise
Maiṅ is amal ka to rakhta kabhi hisaab nahiṅ