جنت کے سردار یا حسین
Jannat Ke Sardaar
Show
جنت کے سردار یا حسین
جنت کے سردار یا حسن
جنت کے سردار یا حسین
حسین یا حسین حسین یا حسین
پنجتن کے گھرانے کا جو حبدار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
۱
تحریر محمد کی جو خاطر میں نہ لائے
جو ہوکے مسلمان دلِ زہرا کو دکھائے
بتلاؤ تمہیں کیا وہ گنہگار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
۲
سینہ زنی یہ آنسوں ہے مومن کی نشانی
جنت میں لے کے جائے گا آنکھوں کا یہ پانی
غم میں حسین کے جو سوگوار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
۳
بے یار و مددگار محمد کا نواسہ
کربوبلا کے بن میں ہے مارا گیا پیاسا
آلِ رسول کا جو عزادار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
۴
اللہ نے بڑے پیار سے پنجتن کو بنایا
یہ میرے ہیں میں ان کا ہوں یہ سب کو بتایا
فرمانِ خدا سے جسے اعتبار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
۵
آ جائیے خدارا میرے بارہویں امام
خورشید کی آنکھیں ہیں منتظر یہ صبح شام
جس جس کو بھی قیام کا انتظار نہیں ہے
محشر میں شفاعت کا وہ حقدار نہیں ہے
وہ حبدار نہیں
وہ حقدار نہیں
Jannat Ke Sardaar
Jannat ke sardaar ya Hasan
Jannat ke sardaar ya Husain
Husain ya Husain Husain ya Husain
Panjetan ke gharaane ka jo hubdaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ
1
Tehrir Muhammad ki jo khaatir meiṅ na laaye
Jo hoke Musalmaan dil-e-Zahra ko dukhaaye
Batlaao tumhiṅ kya wo gunahgaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ
2
Sina zani ye aansuṅ hai momin ki nishaani
Jannat meiṅ le ke jaayega aankhoṅ ka ye paani
Gham meiṅ Husain ke jo sogwaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ
3
Beyaar o madadgaar Muhammad ka nawaasa
Karbobala ke ban meiṅ hai maara gaya pyaasa
Aal-e-Rasul ka jo azaadaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ
4
Allah ne bare pyaar se Panjetan ko banaaya
Ye mere haiṅ maiṅ in ka huṅ ye sab ko bataaya
Farmaan-e-Khuda se jise aetbaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ
5
Aa jaaiye Khudaara mere baarahweṅ Imam
Khurshid ki aankheṅ haiṅ muntazir ye subh shaam
Jis jis ko bhi qaayam ka intezaar nahiṅ hai
Mahshar meiṅ shafaat ka wo haqdaar nahiṅ hai
Wo hubdaar nahiṅ
Wo haqdaar nahiṅ