جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
Jannat To Azadaroṅ Ke Rehne Ki Jagah Hai
Show
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
اقوالِ مقدس سے یہ ادراک ہوا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
فردوس کے میوے میری الفت کا ثمر ہیں
گل گشت کو جنت کے چمن پیشِ نظر ہیں
ان سب کے دلِ پنجتنِ پاک میں گھر ہیں
شیعوں کے لیے حشر میں ہم سینہ سپر ہیں
اس معرکے میں عیش و نشاط ان کے لیے ہیں
نہ خوفِ جہنم نہ صراط ان کے لیے ہیں
۱
ہے سب پہ جلی شہ کے عزادار کا رتبہ
اولادِ پیغمبر کے نمک خوار کا رتبہ
مولائے دو عالم کے پرستار کا رتبہ
ان رتبۂ اشراف سے ثابت یہ ہوا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۲
رتباتِ عزادار کے رحمان سے پوچھو
عمار سے مقداد سے سلمان سے پوچھو
جبریل سے یہ خلد کے رضوان سے پوچھو
حر جیسے کسی صاحبِ ایمان سے پوچھو
جو لوگ وفادار ہیں ان سب کو پتا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۳
سب جانتے ہیں اور وضاحت میں کروں کیا
ہوتی ہے زمین جس کی مکاں ہوتا ہے اس کا
اور صاحبِ جاگیر کا بس رہتا ہے قبضہ
حق دار جو ہوتا ہے وہی کرتا ہے دعویٰ
بہلول بڑے فخر سے یوں بیچ رہا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۴
دیتا ہوں سند آپ کو نہ کیجیے عجلت
گر شک ہے میری بات پہ کر لیجیے زحمت
اور کیجیے اقوالِ مقدس کی تلاوت
منقول ہے سب حضرتِ صادق سے روایت
ائمۂ اطہار نے یہ صاف کہا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۵
اللہ نے اک روز فرشتوں کو بلایا
اور شہ کے عزاداروں کے بارے میں بتایا
آرائشِ جنت کا انہیں حکم سنایا
جبریل سے یہ خلد میں اعلان کرایا
جو مرضیِ زہرا ہے وہی میری رضا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۶
سب سچ ہے مگر سوچے ذرا کون عزادار
جو صاحبِ تقویٰ ہوں نمازی بھی ہوں سرکار
گفتار میں میثم ہوں تو کردار میں مختار
کہ جن سے رضامند ہوں خود حیدرِ کرار
بس ایسے عزاداروں کے بارے میں لکھا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۷
اک رات کو یہ اہلِ ولا خواب میں دیکھا
جنت سے کوئی آ کے سرہانے میرے بیٹھا
پھر اس نے مجھے نیند سے بیدار کرایا
اور کہنے لگا خلد سے پیغام ہوں لایا
یہ میری نہیں سارے شہیدوں کی صدا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
۸
یاسر یہی فرماتی ہیں خود فاطمہ زہرا
جب روزِ جزا پیشِ خدا فیصلہ ہو گا
جنت میں نہیں جاؤں گی کرتی ہوں میں وعدہ
جب تک نہ چلے جائیں محبِ شہِ والا
میں خلد کی ملکہ ہوں یہ حق میں نے دیا ہے
جنت تو عزاداروں کے رہنے کی جگہ ہے
Jannat To Azadaroṅ Ke Rehne Ki Jagah Hai
Aqwal-e-muqaddas se ye idraak hua hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
Firdaus ke mewe meri ulfat ka samar haiṅ
Gul gasht ko Jannat ke chaman pesh-e-nazar haiṅ
In sab ke dil-e-Panjtan-e-Paak meiṅ ghar haiṅ
Shioṅ ke liye hashr meiṅ hum sina sipar haiṅ
Is maarke meiṅ aish o nishaat in ke liye haiṅ
Na khauf-e-Jahannam na siraat in ke liye haiṅ
1
Hai sab pe jali Shah ke azadar ka rutba
Aulaad-e-Payambar ke namak khwaar ka rutba
Maula-e-do aalam ke parastaar ka rutba
In rutba-e-ashraaf se saabit ye hua hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
2
Rutbaat-e-azadar ke Rahman se puchho
Ammar se Miqdad se Salman se puchho
Jibril se ye khuld ke Rizwan se puchho
Hur jaise kisi sahib-e-imaan se puchho
Jo log wafadar haiṅ un sab ko pata hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
3
Sab jaante haiṅ aur wazaahat maiṅ karuṅ kya
Hoti hai zamin jis ki makaaṅ hota hai us ka
Aur sahib-e-jaagir ka bas rehta hai qabza
Haq daar jo hota hai wohi karta hai daawa
Behlul bare fakhr se yuṅ bech raha hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
4
Deta huṅ sanad aap ko na kijiye ujlat
Gar shak hai meri baat pe kar lijiye zehmat
Aur kijiye aqwal-e-muqaddas ki tilaawat
Manqul hai sab Hazrat-e-Sadiq se riwaayat
Aimma-e-Athaar ne ye saaf kaha hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
5
Allah ne ik roz farishtoṅ ko bulaya
Aur Shah ke azadaroṅ ke baare meiṅ bataya
Aaraaish-e-Jannat ka unheiṅ hukm sunaya
Jibril se ye khuld meiṅ aelaan karaya
Jo marzi-e-Zahra hai wohi meri raza hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
6
Sab sach hai magar soche zara kaun azadar
Jo sahib-e-taqwa hoṅ namazi bhi hoṅ sarkar
Guftaar meiṅ Maisam hoṅ to kirdaar meiṅ Mukhtar
Ke jin se razamand hoṅ khud Haidar-e-Karrar
Bas aise azadaroṅ ke baare meiṅ likha hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
7
Ik raat ko ye ahl-e-wila khwaab meiṅ dekha
Jannat se koi aa ke sarhaane mere baitha
Phir us ne mujhe nind se bedaar karaya
Aur kehne laga khuld se paighaam huṅ laya
Ye meri nahiṅ saare shahidoṅ ki sada hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai
8
Yasir yehi farmaati haiṅ khud Fatima Zahra
Jab roz-e-jaza pesh-e-Khuda faisla hoga
Jannat meiṅ nahiṅ jaauṅ gi karti huṅ maiṅ waada
Jab tak na chale jaaeiṅ muhib-e-Shah-e-waala
Maiṅ khuld ki malka huṅ ye haq maiṅ ne diya hai
Jannat to azadaroṅ ke rehne ki jagah hai