جل گئے زین العبا کے گھر نظر کے سامنے
Jal Gaye Zainul Aba Ke
Show
جل گئے زین العبا کے گھر نظر کے سامنے
جل گئے زین العبا کے گھر نظر کے سامنے
چھن گئے ہمشیر کے گوہر نظر کے سامنے
۱
مثلِ تصویرِ پیمبر اکبرِ ذیشان کو
ماں نے دیکھا رات بھر رکھ کر نظر کے سامنے
۲
قبلہ رخ مولا نے رکھ کر شکر کا سجدہ کیا
خون میں ڈوبا لاشۂ اکبر نظر کے سامنے
۳
بولے سرور کیا تمہاری ماں کو اب دوں گا جواب
تم تو اصغر چل بسے ہنس کر نظر کے سامنے
۴
سینۂ شہ پر ہے قاتل ہائے زینب کیا کرے
چل رہا ہے حلق پر خنجر نظر کے سامنے
۵
بخششِ امت کی اس دم بھی لبوں پر تھی دعا
کٹ رہی تھی گردنِ سرور نظر کے سامنے
۶
گرتی پڑتی بھائی کے نزدیک جب پہنچی بہن
بھائی کا تھا لاشۂ بے سر نظر کے سامنے
۷
پانی اعدا کو دیا لیکن سکینہ کو نہیں
شمر نے پھینکا ہے دکھلا کر نظر کے سامنے
۸
کربلا والوں پہ جو گزری ہے انور وہ لکھا
تھا تصور میں ہر ایک منظر نظر کے سامنے
Jal Gaye Zainul Aba Ke
Jal gaye Zainul Aba ke ghar nazar ke saamne
Chhin gaye hamshir ke gauhar nazar ke saamne
1
Misl-e-tasvir-e-Payambar Akbar-e-zishaan ko
Maaṅ ne dekha raat bhar rakh kar nazar ke saamne
2
Qibla rukh maula ne rakh kar shukr ka sajda kiya
Khun meiṅ duba laasha-e-Akbar nazar ke saamne
3
Bole Sarwar kya tumhaari maaṅ ko ab duṅ ga jawaab
Tum to Asghar chal base hans kar nazar ke saamne
4
Sina-e-Sheh par hai qaatil haaye Zainab kya kare
Chal raha hai halq par khanjar nazar ke saamne
5
Bakhshish-e-ummat ki us dam bhi laboṅ par thi dua
Kat rahi thi gardan-e-Sarwar nazar ke saamne
6
Girti parti bhaai ke nazdik jab pahunchi behan
Bhaai ka tha laasha-e-besar nazar ke saamne
7
Paani aada ko diya lekin Sakina ko nahiṅ
Shimr ne phenka hai dikhla kar nazar ke saamne
8
Karbala waloṅ pe jo guzri hai Anwar wo likha
Tha tasavvur meiṅ har ek manzar nazar ke saamne