باقی رہا ہے کون جہاں میں فنا کے بعد
Jahaṅ May Fana Ke
Show
باقی رہا ہے کون جہاں میں فنا کے بعد
باقی رہا ہے کون جہاں میں فنا کے بعد
زندہ مگر حُسین ہے قتلِ جفا کے بعد
۱
آقا ہے وہ ہمارا ہم اُس کے غلام ہیں
قبضہ ہے کائنات پہ جس کا خُدا کے بعد
۲
ہے مرقدِ حُسین تمنائے آخری
جنت بھی گر ملے تو نہ لیں کربلا کے بعد
۳
نُصرت کو آ رہے ہیں ملک چھوڑ کر فلک
پایا شرف حُسین نے یہ انبیاء کے بعد
۴
پردے کی آیتوں کی یہ تفسیر دیکھ لو
بالوں سے مُنہ چھپائے حرم ہیں ردا کے بعد
۵
کر کے بلند ہاتھوں پہ اصغر کو بولے شاہ
باقی نہیں ہے اب کوئی اس مہلکا کے بعد
Jahaṅ May Fana Ke
Baaqi raha hai kaun jahaaṅ meiṅ fana ke baad
Zinda magar Husain hai qatl-e-jafa ke baad
1
Aaqa hai wo hamaara hum us ke ghulaam haiṅ
Qabza hai kaainaat pe jis ka Khuda ke baad
2
Hai marqad-e-Husain tamanna-e-aakhri
Jannat bhi gar mile to na leiṅ Karbala ke baad
3
Nusrat ko aa rahe haiṅ malak chhor kar falak
Paaya sharaf Husain ne ye Ambiya ke baad
4
Parde ki aayatoṅ ki ye tafsir dekh lo
Baaloṅ se muṅh chhupaaye haram haiṅ rida ke baad
5
Kar ke buland haathoṅ pe Asghar ko bole Shaah
Baaqi nahiṅ hai ab koi is mehlakha ke baad