جہاں حسین وہاں لا إله إلا الله
Jahan Hussain wahan la ilaha illallah

- Language
- Urdu
Roman Urdu
La ilaha illa Allah, La ilaha illa Allah
La ilaha illa Allah, La ilaha illa Allah
Na poochiye hai kahan La ilaha illa Allah
Jahan Husain wahan La ilaha illa Allah
Ali ki tegh se tareekh poochiye sab ki
Parha tha kis ne kahan La ilaha illa Allah
Agar wilayat-e Haider nahin hai kalma mein
To phir hai wahm-o-guman La ilaha illa Allah
Ali ko dil mein basa kar to dekh lo ay waiz
To khud kahegi zaban La ilaha illa Allah
Naseeriyon ko yaqeen La ilaha illa Ali
Hai Muslimon ko guman La ilaha illa Allah
Jise naseeb nahin hubb-e Ahl-e Bait-e Rasool
Use naseeb kahan La ilaha illa Allah
Husain zinda hai jab tak zamana baqi hai
Kahan Yazeed kahan La ilaha illa Allah
Pata Khuda ka batate agar na Aal-e Nabi
Azaan mein tha kahan La ilaha illa Allah
Azaan mein Ali Akbar ne La ilaha illa Allah kaha
To aaj tak hai jawan La ilaha illa Allah
Dar-e Batool nahin jal raha tha ay Majid
Woh ho raha tha dhuan La ilaha illa Allah