جب اٹھ گئے علی کے پدر اس جہاں سے
Jab Uth Gaye Ali Ke Padar Is Jahaaṅ Se
Show
جب اٹھ گئے علی کے پدر اس جہاں سے
۱
جب اٹھ گئے علی کے پدر اس جہاں سے
لاکھوں بلائیں ٹوٹ پڑیں آسمان سے
رکھتے تھے جو عزیز پیغمبر کو جان سے
جاتے ہیں سوئے خلد وہ فانی مکان سے
سر پیٹیے نبی کے ثنا خواں گزر گئے
لوگو رسولِ حق کے چچا جان گزر گئے
۲
سر پیٹتے ہیں ناصر و یاور بھی اس گھڑی
ہیں غمزدہ علی کے برادر بھی اس گھڑی
روتے ہیں آہ ساقیِ کوثر بھی اس گھڑی
بے چین ہیں خدا کے پیغمبر بھی اس گھڑی
مکہ کے شہزادوں پہ آفت گزر گئی
سب پرسہ دو نبی پہ قیامت گزر گئی
۳
وہ عبدِ خاص باریِ تعالیٰ نہیں رہا
مکہ کی وادیوں کا اجالا نہیں رہا
جس نے نبیِ حق کو سنبھالا نہیں رہا
ہائے ہائے نبی کا پالنے والا نہیں رہا
دادا کے بعد جس نے نبی کو سنبھالا تھا
وہ جس نے باپ بن کے محمد کو پالا تھا
۴
جس نے کیے رسول پہ احسان مر گئے
دینِ خدا کے تھے جو نگہبان مر گئے
صد حیف مصطفیٰ کے چچا جان مر گئے
ہیں مضطرب رسول کہ عمران مر گئے
سر پر اڑاؤ خاک کہ حیدر ملول ہیں
رو چچا کے غم میں پیمبر ملول ہیں
۵
سینے پہ جو کہ اپنے نبی کو سلاتا تھا
بیٹوں سے بڑھ کے ناز جو ان کے اٹھاتا تھا
ہر دم نبی کو گرم ہوا سے بچاتا تھا
خود بھوکا رہ کے کھانا نبی کو کھلاتا تھا
جو ڈھال بن کے رہتا تھا ہر دم رسول کی
ہے چشم اس کے واسطے پرنم رسول کی
۶
دیکھا جو آنکھ کھول کے بابا نہ سر پہ تھے
تھا بچپنا کہ ماں بھی گئیں اس جہان سے
تھی آٹھ سال عمر کہ دادا چلے گئے
نازو نم سے پالا چچا جان نے جسے
ہائے ہائے جہان سے وہ چچا جان چلے گئے
آئی ندائے غیب کہ عمران چلے گئے
Jab Uth Gaye Ali Ke Padar Is Jahaaṅ Se
1
Jab uth gaye Ali ke padar is jahaaṅ se
Laakhoṅ balaaeṅ tut pariṅ aasmaan se
Rakhte the jo aziz Payghambar ko jaan se
Jaate haiṅ su-e-khuld wo faani makaan se
Sar pitiye Nabi ke sana khwaaṅ guzar gaye
Logo Rasul-e-Haq ke chacha jaan guzar gaye
2
Sar pitte haiṅ naasir o yaawar bhi is ghari
Haiṅ ghamzada Ali ke baraadar bhi is ghari
Rote haiṅ aah Saaqi-e-Kausar bhi is ghari
Bechain haiṅ Khuda ke Payghambar bhi is ghari
Makka ke shehzaadoṅ pe aafat guzar gayi
Sab pursa do Nabi pe qayaamat guzar gayi
3
Wo abd-e-khaas Baari-e-Taala nahiṅ raha
Makka ki waadiyoṅ ka ujaala nahiṅ raha
Jis ne Nabi-e-Haq ko sambhaala nahiṅ raha
Haye haye Nabi ka paalne waala nahiṅ raha
Daada ke baad jis ne Nabi ko sambhaala tha
Wo jis ne baap ban ke Muhammad ko paala tha
4
Jis ne kiye Rasul pe ehsaan mar gaye
Din-e-Khuda ke the jo nigehbaan mar gaye
Sad haif Mustafa ke chacha jaan mar gaye
Haiṅ muztarib Rasul ke Imran mar gaye
Sar par uraao khaak ke Haidar malul haiṅ
Ru chacha ke gham meiṅ Payambar malul haiṅ
5
Sine pe jo ke apne Nabi ko sulaata tha
Betoṅ se barh ke naaz jo un ke uthaata tha
Har dam Nabi ko garm hawa se bachaata tha
Khud bhuka reh ke khaana Nabi ko khilaata tha
Jo dhaal ban ke rehta tha har dam Rasul ki
Hai chashm us ke waaste purnam Rasul ki
6
Dekha jo aaṅkh khol ke baaba na sar pe the
Tha bachpana ke maaṅ bhi gayiṅ is jahaan se
Thi aath saal umr ke daada chale gaye
Naazo nam se paala chacha jaan ne jise
Haye haye jahaan se wo chacha jaan chale gaye
Aayi nida-e-ghaib ke Imran chale gaye