Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

جب چاند محرم کا نکلتا ہے فلک پر

Jab Chand Moharram

Add to set
Show

جب چاند محرم کا نکلتا ہے فلک پر

جب چاند محرم کا نکلتا ہے فلک پر روتی ہے بہت حضرتِ شبیر کی مادر سرور کے عزاداروں کو وہ چاند دکھا کر جب چاند محرم کا نکلتا ہے فلک پر
۱ آتی ہے عزاداروں کے گھر فاطمہ زہرا دیتی ہے دعا شام و سحر فاطمہ زہرا ہر شہ کے عزادار کی قوت کو بڑھا کر
۲ جب مجلسِ شبیر میں آتے ہیں عزادار پیاسوں کے لئے اشک بہاتے ہیں عزادار رومال عزاداروں کی آنکھوں سے لگا کر
۳ مظلوموں کا جب سوگ مناتی ہیں کنیزیں اور چوڑیاں ہاتھوں سے بڑھاتی ہیں کنیزیں کبریٰ کی کنیزوں کو کلیجے سے لگا کر
۴ آتی ہے سکینہ بھی عزاخانے کے اندر غازی کے مصائب پہ بلکتی ہے وہ مضطر آغوش میں معصوم سکینہ کو اٹھا کر
۵ دادی سے یہ جب کہتی ہے معصوم سکینہ یہ کون ہے کرتا ہے میرے بابا پہ گریہ ہے شہ کے عزادار یتیمہ سے بتا کر
۶ جاتی ہے نظر پرچمِ عباس پہ جس دم شہزادی بہت روتی ہے سر پیٹ کے اس دم پھرتا ہے نگاہوں میں ترائی کا وہ منظر
۷ قسمت پہ بہت ناز ہے ہم غمخوار ہیں بی‌بی ہم سب تیرے بچوں کے عزادار ہیں بی‌بی جب کہتے ہیں واعظ یہ عزادار تڑپ کر

Jab Chand Moharram

Jab chaand Muharram ka nikalta hai falak par Roti hai bahut Hazrat-e-Shabbir ki maadar Sarwar ke azaadaaroṅ ko woh chaand dikha kar Jab chaand Muharram ka nikalta hai falak par
1 Aati hai azaadaaroṅ ke ghar Faatima Zehra Deti hai dua shaam o sahar Faatima Zehra Har Shah ke azaadaar ki quwwat ko barha kar
2 Jab majlis-e-Shabbir meiṅ aate haiṅ azaadaar Pyaasoṅ ke liye ashk bahaate haiṅ azaadaar Rumaal azaadaaroṅ ki aankhoṅ se laga kar
3 Mazlumoṅ ka jab sog manaati haiṅ kanizeiṅ Aur churiyaaṅ haathoṅ se barhaati haiṅ kanizeiṅ Kubra ki kanizoṅ ko kaleje se laga kar
4 Aati hai Sakina bhi aza khaane ke andar Ghaazi ke masaaib pe bilakti hai woh muztar Aaghosh meiṅ maasum Sakina ko utha kar
5 Daadi se ye jab kehti hai maasum Sakina Ye kaun hai karta hai mere baaba pe girya Hai Shah ke azaadaar yatima se bata kar
6 Jaati hai nazar parcham-e-Abbas pe jis dam Shahzaadi bahut roti hai sar pit ke us dam Phirta hai nigaahoṅ meiṅ taraai ka woh manzar
7 Qismat pe bahut naaz hai ham ghamkhwaar haiṅ Bibi Ham sab tere bachchoṅ ke azaadaar haiṅ Bibi Jab kehte haiṅ Waaiz ye azaadaar tarap kar