Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

جانے والے کربلا کے کربلا لے چل مجھے

Jaane Wale Karbala

Add to set
Show

جانے والے کربلا کے کربلا لے چل مجھے

جانے والے کربلا کے کربلا لے چل مجھے روضۂ شبیر پر دوں گا دعا لے چل مجھے
۱ ہے جہاں گنج شہیداں ہے جہاں نہر فرات جس جگہ سید میرا پیاسا رہا لے چل مجھے
۲ جس جگہ جاگی تھی قسمت حر کی وہ دیکھوں گا میں عاصیوں پر کیسے ہوتی ہے عطا لے چل مجھے
۳ اس قدر نادار ہوں زادِ سفر کچھ بھی نہیں دوش پر اپنے بٹھا کر اے ہوا لے چل مجھے
۴ جس جگہ عباس کے بازو قلم ہو کر گرے اس جگہ میں بھی کروں ماتم ذرا لے چل مجھے
۵ دل الجھ کر آ گیا برچھی میں اکبر کا جہاں دل وہاں میں بھی کروں اپنا فدا لے چل مجھے
۶ جل گئے شام غریباں میں جہاں خیمے تمام جس جگہ ننھا سا اک جھولا جلا لے چل مجھے
۷ ہائے وہ مقتل جہاں بالی سکینہ رات میں ڈھونڈتی پھرتی تھی سینہ باپ کا لے چل مجھے
۸ مسکرا کر تیر کھا کر سو گیا اصغر جہاں خوں جہاں چہرے پہ سرور نے ملا لے چل مجھے
۹ سرور و ریحان ہر مجلس میں کرتے ہیں دعا حق وہی نوحوں کا اب ہوگا ادا لے چل مجھے

Jaane Wale Karbala

Jaane wale Karbala ke Karbala le chal mujhe Rauza-e-Shabbir par duṅ ga dua le chal mujhe
1 Hai jahaaṅ ganj-e-shahidaaṅ hai jahaaṅ nehr-e-Furaat Jis jagah Sayyid mera pyaasa raha le chal mujhe
2 Jis jagah jaagi thi qismat Hur ki wo dekhuṅ ga maiṅ Aasiyoṅ par kaise hoti hai ataa le chal mujhe
3 Is qadar nadaar huṅ zaad-e-safar kuch bhi nahiṅ Dosh par apne bitha kar ae hawa le chal mujhe
4 Jis jagah Abbas ke baazu qalam ho kar gire Us jagah maiṅ bhi karuṅ maatam zara le chal mujhe
5 Dil ulajh kar aa gaya barchhi meiṅ Akbar ka jahaaṅ Dil wahaaṅ maiṅ bhi karuṅ apna fida le chal mujhe
6 Jal gaye shaam-e-gharibaaṅ meiṅ jahaaṅ khaime tamaam Jis jagah nanha sa ek jhula jala le chal mujhe
7 Haae wo maqtal jahaaṅ baali Sakina raat meiṅ Dhundti phirti thi sina baap ka le chal mujhe
8 Muskura kar tir kha kar so gaya Asghar jahaaṅ Khuṅ jahaaṅ chehre pe Sarwar ne mala le chal mujhe
9 Sarwar o Rehaan har majlis meiṅ karte haiṅ dua Haq wahiṅ nauhoṅ ka ab hoga adaa le chal mujhe